Main Jata Hun Dil Ko Tere Paas Chore; Meri Yaad Tujhko Dilata Rahega! |
Ek Wahi Shakhs Mujhko Yaad Raha; Jisko Samjha Tha Bhool Jaunga! |
Jaate Jaate Un Ka Rukna Aur Mud Kar Dekhna; Jaag Utha Aah Mera Dard-e-Tanhai Bahut! |
Khwab Ki Tarah Bikhar Jaane Ko Jee Chahta Hai; Aisi Tanhai Ki Mar Jane Ko Jee Chahta Hai! |
Hijr Insan Ke Khad-o-Khal Badal Deta Hai; Kabhi Fursat Mein Mujhe Dekhne Aana Mere Dost! * Khad-o-Khal - Features, Shape, Physique |
Raat Hai Chand Hai Sitare Hain; Be-Saharon Ke Sau Sahare Hain! |
Guzre Waqt Ki Shayad Tujhe Khabar Kam Hai; Mere Safar Mein Koi Tujh Sa Hum-Safar Kam Hai! |
Kya Jald Guzarti Hain Shab-e-Vasl Ki Ghadiyan; Ik Hijr Ka Din Hai Ki Guzarta Hi Nahi Hai! |
Hua Hai Tujh Se Bichhadne Ke Baad Ye Maalum; Ki Tu Nahi Tha Tere Saath Ek Duniya Thi!d |
Tere Firaq Mein Ghutnon Chali Hai Tanhai; Khayal-o-Khwab Mein Phuli-Phali Hai Tanhai! |