Jab Talak Sheesha Raha Main Bada Toda Geya, Ban Geya Patthar To Sab Ne Devta Maana Mujhe! |
Ye Udi Udi Si Rangat Ye Khule Khule Se Gesu, Teri Subah Keh Rahi Hai Teri Raat Ka Fasana! |
Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang, Varna Royega Ki Jannat Mein Bhii Rusvayi Hui! |
Har Ek Baat Ko Chup-Chaap Kyon Suna Jaye, Kabhi To Haunsla Kar Ke Nahi Kaha Jaye! |
Dil Se Jo Baat Nikalti Hai Asar Rakhti Hai, Par Nahi Taqat-e-Parwaaz Magar Rakhti Hai! |
Chahiye Khud Pe Yakeen-e-Kamil; Haunsla Kis Ka Badhata Hai Koi! |
Hua Hai Chaar Sajdon Par Ye Dawaa Zahido Tum Ko; Khuda Ne Kya Tumhare Haath Jannat Bech Daali Hai! |
Seekh Duniya Hi Mein Vaaiz Hoor Se Milne Ke Dhang; Varna Royega Ki Jannat Mein Bhi Ruswayi Hui! |
Talash Hai Ek Aise Shakhs Kee, Jo Aankhon Mein Us Waqt Dard Dekh Sake; Jab Sab Log Mujse Khete Hain, Kya Yaar Hamesha Hansti Rehti Ho! |
Aaghosh Mein Mehkoge Dikhai Nahi Doge; Tum Nikhat-e-Gulzar Ho Hum Parda-e-Shab Hain! Meaning: Nikhat-e-Gulzar = Fragrance of garden Parda-e-Shab = Veil of night |