Miscellaneous Shayari

  • Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhan-War Bahot Achhe;
    Kehte Hain Ki 'Ghalib' Ka Hai Andaaz-e-Bayan Aur!
    ~ Mirza Ghalib
  • Padh Raha Hun Main Ishq Ki Kitab Ai Dosto;
    Agar Aa Gayi Smajh Ishq Ki To Bewafaon Ki Khair Nahi!
  • Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;<br/>
Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!Upload to Facebook
    Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
    Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!
  • Khwahishon Ka Kafila Bhi Ajeeb Hi Hai;
    Aksar Wahin Se Guzarta Hai Jahan Raasta Na Ho!
  • Jaan Tum Par Nisaar Karta Hun;
    Main Nahi Jaanta Dua Kya Hai;
    Maine Maana Ki Kuch Nahi Ghalib;
    Muft Haath Aaye To Bura Kya Hai!

    Translation:
    I sacrifice my life for you,
    I never knew what prayer is.
    I concede that Ghalib is nothing,
    If it comes free, what's the harm in it?
    ~ Mirza Ghalib
  • Main Ek Zarra Bulandi Ko Chhune Nikla Tha;
    Hawa Ne Tham Ke Zamin Par Gira Diya Mujhko!
    ~ Nazeer Baqri
  • Udaan Walo, Udaanon Pe Waqt Bhaari Hai;
    Paron Kee Abki Nahi, Haunslon Kee Bari Hai!
    ~ Wasim Barelvi
  • Haan Aye Falak-e-Pir Jawan Tha Abhi Arif;
    Kya Tera Bigadta Jo Na Marta Koi Din Aur;
    Tum Maah-e-Shab-e-Char-Duham The Mere Ghar Ke;
    Phir Kyon Na Raha Ghar Ka Woh Naqsha Koi Din Aur!

    Translation:
    Yes, you Ancient sky! Arif was still young,
    What would you lose, if he had not died untill some other day.
    You were the full moon of my home,
    Why could not that design remain until some other day.
    ~ Mirza Ghalib
  • Hum Bhi Dariya Hai Humein Apna Hunar Maloom Hai;
    Jis Taraf Bhi Chal Padenge Raasta ho Jayega!
    ~ Bashir Badr
  • Mit Jayega Sar Gar Tera Pathar Na Ghisega;
    Hoon Dar Pe Tere Naasiyah-Farsa Koi Din Aur;
    Aaye Ho Kal Aur Aaj Hi Kehte Ho Ke Jaaun;
    Maana Ki Khamosh Nahi Acha Koi Din Aur!

    Translation:
    My forehead will bear the scar before your tombstone will,
    I remain prostrate before your grave until some other day,
    Arriving yesterday, and speaking today of leaving,
    Granted not forever, but perhaps, some other day.
    ~ Mirza Ghalib
ADVERTISEMENT
ADVERTISEMENT