-
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazSuna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain,
So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain;
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab-Haalon Se,
So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazKis Kis Ko Batayenge Judai Ka Sabab Hum;
Tu Mujh Se Khafa Hai To Zamane Ke Liye Aa! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazRanjish Hi Sahi Dil Hi Dukhane Ke Liye Aa,
Aa Phir Se Mujhe Chhod Ke Jaane Ke Liye Aa;
Kuch To Mere Pindar-e-Mohabbat Ka Bharam Rakh,
Tu Bhi To Kabhi Mujh Ko Manane Ke Liye Aa! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazIs Qadar Musalsal Thi Shiddatein Judai Ki;
Aaj Pehli Baar Us Se Maine Bewafai Ki! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazBhari Bahar Mein Ek Shaakh Par Khila Hai Gulab;
Ki Jaise Tu Ne Hatheli Pe Gaal Rakha Hai! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazHua Hai Tujh Se Bichhadne Ke Baad Ye Maalum;
Ki Tu Nahi Tha Tere Saath Ek Duniya Thi!d -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazIs Zindagi Mein Itni Faraghat Kise Naseeb;
Itna Na Yaad Aa Ki Tujhe Bhool Jayein Hum!
* Faraghat - Cessation from labour, Interval, Time for rest, Comfort -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazSakiya Ek Nazar Jaam Se Pehle Pehle;
Hum Ko Jana Hai Kahin Sham Se Pehle Pehle! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazUs Ko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua,
Ab Kya Kahein Yeh Qissa Purana Bahut Hua;
Hum Khuld Se Nikal To Gaye Hain Par Ai Khuda,
Itne Se Waqiye Ka Fasana Bahut Hua! -
Upload to Facebook
~ Ahmad FarazAb Ke Hum Bichhade Toh Shayad Kabhi Khwabon Mein Milen;
Jis Tarah Sookhe Hue Phool Kitabon Mein Milen!