Kahun Kis Se Main Ki Kya Hai Shab-e-Gham Buri Bala Hai; Mujhe Kya Bura Tha Marna Agar Ek Baar Hota! |
Patthar Ke Jigar Walo Gham Mein Wo Ravani Hai; Khud Raah Bana Lega Behta Hua Paani Hai! |
Kise Apna Banayein Koi Is Qabil Nahi Milta; Yahan Patthar Nahut Milte Hain Lekin Dil Nahi Milta! |
Jaane Kis Mod Pe Le Aayi Humein Teri Talab; Sar Pe Sooraj Bhi Nahi Raah Mein Saaya Bhi Nahi! |
Kah Raha Hai Shor-e-dariya Se Samundar Ka Sukut; Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Vo Khamosh Hai! * Sukut - Silence * Zarf - Vase, Capability |
Jo Log Maut Ko Zaalim Qarar Dete Hain; Khuda Milaye Unhein Zindagi Ke Maaron Se! |
Mujhe Khabar Nahi Gham Kya Hai Aur Khushi Kya Hai; Ye Zindagi Ki Hai Surat To Zindagi Kya Hai! |
Zindagi Kya Kisi Muflis Ki Qaba Hai Jis Mein; Har Ghadi Dard Ke Paiband Lage Jaate Hain! |
Layi Hai Kis Muqaam Pe Ye Zindagi Mujhe; Mehsoos Ho Rahi Hai Khud Apni Kami Mujhe! |
Yeh Kis Muqaam Pe Thehra Hai Kaarwan-e-Wafa; Na Roshni Ki Kiran Hai Kahin Na Taaza Hawa! |