Sun Chuke Jab Haal Mera Le Ke Angdayi Kaha; Kis Ghazab Ka Dard Zaalim Tere Afsane Mein Tha! |
Us Ne Barish Men Bhi Khidki Khol Ke Dekha Nahin; Bhigne Valon Ko Kal Kya Kya Pareshani Hui! |
Judaiyon Ke Zakhm Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diye; Tujhe Bhi Nind Aa Gayi Mujhe Bhi Sabr Aa Gaya! |
Meri Tabahi Dil Par To Reham Kha Na Saki; Jo Roshni Mein Rahe Roshni Ko Pa Na Sake! |
Paani Se Bhari Aankhen Lekar Mujhe Ghoorta Hi Raha; Wo Aaine Mein Khada Shakhs Pareshan Bahut Tha! |
Sikha Deti Hain Chalna Thokarein Bhi Raahgiron Ko; Koi Raasta Sada Dushwaar Ho Aisa Nahi Hota! |
Koi Atka Hua Hai Pal Shayad, Waqt Mein Pad Gaya Hai Bal Shayad; Dil Agar Hai To Dard Bhi Hoga, Is Ka Koi Nahi Hai Hal Shayad! |
Kabhi Khud Pe Kabhi Halaat Pe Rona Aaya; Baat Nikli To Har Ek Baat Pe Rona Aaya! |
Hamari Raah Se Patthar Utha Kar Phenk Mat Dena; Lagi Hain Thokaren Tab Ja Ke Chalna Seekh Paaye Hain! |
Insan Ki Khwahishon Ki Koi Inteha Nahi; Do Gaj Zameen Bhi Chahiye Do Gaj Kafan Ke Baad! |