Munh Jo Dekhe Aaina Gar Kanch Ka, Muskura Uthe Muqaddar Kanch Ka; Bhool Jaunga Main Apne Aap Ko, Aks Pehchanega Jo Har Kanch Ka! |
Ishq Par Zor Nahi Hai Ye Wo Aatish 'Ghalib'; Ki Lagaye Na Lage Aur Bujhaye Na Bane! |
Is Kufr-e-Ishq Se Mujhe Kyon Rokte Ho Tum, Imaan Walo Mera Hi Imaan Jayega; Aaj Us Se Maine Shikwa Kiya Tha Shararatan, Kis Ko Khabar Thi Itna Bura Maan Jayega! |
Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi Sakte; Mohabbat Deen Hoti Hai Wafa Imaan Hoti Hai! |
Tumhare Shehar Ka Mausam Bada Suhana Lage; Main Ek Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage! |
Maang Lun Tujh Se Tujhi Ko Ki Sabhi Kuch Mil Jaye; Sau Sawalon Se Yahi Ek Sawal Achchha Hai! |
Meri Koshish Ka Samar Hai Mukhtalif, Pyaar Ka Us Par Asar Hai Mukhtalif; Saari Duniya Mein Nahi Us Ki Misaal, Sab Se Wo Rashk-e-Qamar Hai Mukhtalif! *Mukhtalif: Different |
Har Ek Baat Pe Kehte Ho Tum Ki Tu Kya Hai, Tum Hi Kaho Ki Ye Andaaz-e-Guftgu Kya Hai; Na Sholay Mein Yeh Karishma, Na Barq Mein Ye Ada, Koi Batao Ki Wo Shokh Tund Khu Kya Hai! |
Nazr-e-Karam Mujh Par Itna Na Kar, Ki Teri Mohabbat Ke Liye Baaghi Ho Jaaun; Mujhe Itna Na Pila Ishq-e-Jaam Ki, Main Ishq Ke Zehar Ka Aadi Ho Jaaun! |
Ankhon Se Karen Kya Tunak Aabi Ki Shikayat; Dil Hi Ke Lahu Se Kabhi Palkon Ko Bhigo Len! |