Muddat Ke Baad Aaj Use Dekh Kar 'Munir'; Ek Baar Dil To Dhadka Magar Phir Sambhal Geya! |
Ishq Hai Tarz-o-Taur Ishq Ke Taeen, Kahin Banda Kahin Khuda Hai Ishq; Ishq Maashuq Ishq Aashiq Hai, Yaani Apna Hi Mubtala Hai Ishq! |
Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke; Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya! |
Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil; Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai! |
Siyah Ped Hain Ab Aap Apni Parchayin, Zameen Se Ta-mah-o-Anjum Sukut Ke Minar; Jidhar Nigah Karen Ik Athah Gum-Shudgi, Ek Ek Kar Ke Fasurda Charaghon Ki Palken! |
Baat Bas Se Nikal Chali Hai, Dil Ki Halat Sambhal Chali Hai; Ab Junoon Hadh Se Badh Chala Hai, Ab Tabiyat Bahal Chali Hai! |
Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne; Dil Se To Puch Lijiye Kyon Be-Qarar Hai! |
Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale, Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale; Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho, Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale! |
Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai; Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai! |
Dekhna Achcha Nahi Zaanu Pe Rakh Kar Aaina; Donon Nazuk Hain Na Rakhiyo Aaine Par Aaina! *Zaanu: Part between the waist and knee while sitting on knees |