Samjha Liya Fareb Se Mujh Ko To Aap Ne; Dil Se To Puch Lijiye Kyon Be-Qarar Hai! |
Ai Sab Se Awwal Aur Akhir, Jahan-Tahan, Hazir Aur Nazir; Ai Sab Danaon Se Daana, Saare Tavanaon Se Tavana! |
Khamosh Chehron Par Hazaron Pehre Hote Hain, Hansti Aankhon Mein Bhi Zakham Gehre Hote Hain; Jinse Aksar Rooth Jate Hain Hum, Unse Hi Rishte Zyada Gehre Hote Hain! |
Dooriyan Mayane Nahi Rakhti; Jab Dil Ek Dusre Ke Wafadar Ho! |
Shikwa-e-Iztirab Kaun Kare, Apni Duniya Kharab Kaun Kare; Gin To Lete Hain Ungliyon Pe Gunah, Rahmaton Ka Hisab Kaun Kare! |
Kar Raha Tha Gham-e-Jahan Ka Hisab; Aaj Tum Yaad Be-Hisab Aaye! |
Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke; Woh Ja Raha Hai Koi Shab-e-gham Guzar Ke! |
Gulon Mein Rang Bhare Bad-e-Nau-Bahar Chale, Chale Bhi Aao Ki Gulshan Ka Karobar Chale; Qafas Udaas Hai Yaaro Saba Se Kuch To Kaho, Kahin To Bahr-e-Khuda Aaj Zikr-e-Yaar Chale! |
Saari Duniya Se Be-Niyazi Hai; Wah Ai Mast-e-Naaz Kya Kehna! |
Dil Pagal Hai Roz Nayi Nadani Karta Hai; Aag Mein Aag Milata Hai Phir Paani Karta Hai! |