Kyon Maang Rahe Ho Kisi Barish Ki Duayein; Tum Apne Shikasta Dar-o-Deewar To Dekho! * Shikasta:Broken |
Siyah Ped Hain Ab Aap Apni Parchayin, Zameen Se Ta-mah-o-Anjum Sukut Ke Minar; Jidhar Nigah Karen Ik Athah Gum-Shudgi, Ek Ek Kar Ke Fasurda Charaghon Ki Palken! |
Hairat Se Takta Hai Sahra Barish Ke Nazrane Ko; Kitni Door Se Aayi Hai Ye Ret Se Haath Milane Ko! |
Dil Na Pahuncha Gosha-e-Daman Talak, Qatra-e-Khoon Tha Mizha Par Jam Raha; Sunte Hain Laila Ke Kheme Ko Siyah, Us Mein Majnun Ka Magar Matam Raha! |
Aaj Dekha Hai Tujh Ko Der Ke Baad; Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin! |
Gham Raha Jab Tak Ki Dum Mein Dum Raha, Dil Ke Jaane Ka Nihayat Gham Raha; Husn Tha Tera Bahut Alam-Fareb, Khat Ke Aane Par Bhi Ik Aalam Raha! |
Nahi Ilaj-e-Gham-e-Hijr-e-Yaar Kya Kijiye; Tadap Raha Hai Dil-e-Be-Qarar Kya Kijiye! |
Nazuki Us Ke Lab Ki Kya Kahiye; Pankhudi Ik Gulab Ki Si Hai! |
Baat Bas Se Nikal Chali Hai, Dil Ki Halat Sambhal Chali Hai; Ab Junoon Hadh Se Badh Chala Hai, Ab Tabiyat Bahal Chali Hai! |
Jaane Wale Se Mulaqat Na Hone Payi; Dil Ki Dil Mein Hi Rahi Baat Na Hone Payi! |