Dard-e-Gham-e-Firaq Se Aankhen Hain Ashk-Bar Kya, Rone Se Hogi Mukhtasar Zahmat-e-Intezar Kya; Zakhmon Se Chuur Jo Na Ho Seena-e-Dagh-Dar Kya, Jis Mein Na Ho Hujum-e-Gul Kehiye Use Bahar Kya! |
Dekha Hai Zindagi Ko Kuch Itne Qareeb Se; Chehre Tamaam Lagne Lage Hain Ajeeb Se! |
Dushmanon Se Pyaar Hota Jayega; Doston Ko Aazmate Jaiye! |
Nigah-e-Bad-Guman Hai Aur Main Hun, Fareb-e-Aashiyan Hai Aur Main Hun; Shareek-e-Be-Kasi Aaye Kahan Se, Zameen Par Aasman Hai Aur Main Hun! |
Suna Hai Teri Mehfil Mein Sukun-e-Dil Bhi Milta Hai; Magar Hum Jab Teri Mehfil Se Aaye Be-Qarar Aaye! |
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain, So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain; Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab-Haalon Se, So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain! |
Kaanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Saath Den; Phoolon Ka Kya Jo Saans Ki Garmi Na Sah Saken! |
Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke; Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya! |
Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil; Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai! |
Sab Ne Kaha Dosti Ek Dard Hai, Hum Ne Kaha Qubool Hai; Sab Ne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Nahi Paoge, Hum Ne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Bhi Qubool Hai! |