Dhoop Ne Guzarish Ki; Ek Boond Barish Ki! |
Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain, So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain; Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab-Haalon Se, So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain! |
Hairat Se Takta Hai Sahra Barish Ke Nazrane Ko; Kitni Door Se Aayi Hai Ye Ret Se Haath Milane Ko! |
Aaj Dekha Hai Tujh Ko Der Ke Baad; Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin! |
Aaj Bhi Shayad Koi Phulon Ka Tohfa Bhej De; Titliyan Mandla Rahi Hain Kanch Ke Gul-Dan Par! |
Sabhi Tarah Se Taaruf To Ho Gaya Unka, Rahi Hai Ab To Mulaqaat Ru-ba-Ru Baaki; Jo Bheed Bikhre To Dekhun Talab Ye Kaisi Hai, Dayar-e-Ghair Mein Hai Kis Ki Justuju Baaki! |
Lafzon Ka Saeban Bana Lene Dijiye, Sayon Ko Taq-e-Dil Mein Saja Lene Dijiye; Gehre Samundaron Ki Tahen Mat Khangaliye, Dil Ko Khuli Hawa Ka Maza Lene Dijiye! *Taq-e-Dil: Niche Of Heart |
Ek Khwahish Hai Bas Zamane Ki, Teri Aankhon Mein Doob Jaane Ki; Saath Jab Tum Nibha Nahi Paate, Kya Zaroorat Thi Dil Lagane Ki! |
Zindagi Ek Aziyyat Hai Mujhe; Tujh Se Milne Ki Zaroorat Hai Mujhe! *Aziyyat: Trouble, Difficulty |
Ae Khuda Mujhe Woh Mohabbat De; Jo Kabhi Khlaud Tak Ruswa Na Kare! * Khlaud = Eternity |