Baqa-e-Dil Ke Liye Jo Lahoo Zaroori Hai, Isi Tarah Mere Jeevan Mein Tu Zaroori Hai; Ye Akal Wale Nahi Ahl-e-Dil Samjhte Hain, Ki Kyuon Sharab Se Pehle Wuzu Zaroori Hai! |
Ye Na Thi Hamari Qismat Ki Visal-e-Yaar Hota, Agar Aur Jeete Rehte Yahi Intezar Hota; Tere Vaade Par Jiye Hum To Yeh Jaan Jhoot Jana, Ki Khushi Se Mar Na Jate Agar Aitbar Hota! |
Ye Dil Ye Pagal Dil Mera Kyun Bujh Geya Aawargi, Is Dasht Mein Ik Shehar Tha, Wo Kiya Hua Aawargi; Kal Shab Mujhe Be-Shakal Ki Aawaz Ne Chonka Diya, Maine Kaha Tu Kaun Hai Usne Kaha Aawargi! |
Mil Mujh Se Ai Pari Tujhe Quran Ki Kasam, Deta Hun Tujh Ko Takht-e-Sulaiman Ki Kasam; Karr-o-Bayon Ki Tujh Ko Kasam Aur Arsh Ki, Jibril Ki Kasam Tujhe Rizwan Ki Kasam! *Karr-o-Bayon: Creations other than human beings |
Zindagi Kavish-e-Batil Hai Mera Saath Na Chhod, Tu Hi Ik Umar Ka Hasil Hai Mera Saath Na Chhod; Log Milte Hain Sar-e-Raah Guzar Jaate Hain, Tu Hi Ik Hum-Safar-e-Dil Hai Mera Saath Na Chhod! |
Kiya Hai Pyaar Jise Hum Ne Zindagi Ki Tarah, Woh Aashna Bhi Mila Hum Se Ajnabi Ki Tarah; Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Tariki, Chhupega Woh Kisi Badli Mein Chandani Ki Tarah! |
Aur Kya Dekhne Ko Baaki Hai; Aap Se Dil Laga Ke Dekh Liya! |
Ab Us Ka Naam Dil Se Kya Mitana; Jo Hum Ne Likh Diya Hai Likh Diya Hai! |
Koi Samjhe To Ek Baat Kahun; Ishq Taufiq Hai Gunah Nahi! |
Saj-Dhaj Ke Aap Nikle Sar-e-Rah Khair Ho; Takra Na Jaye Aap Ka Pagal Sambhaliye! |