Dil Ki Awaaz Ko Izhaar Kehte Hain, Jhuki Nigaah Ko Iqarar Kehte Hain; Sirf Paane Ka Naam Mohabbat Nahi Hai, Kuch Kho Kar Pane Ko Bhi Pyaar Kehte Hain! |
Ab Tere Zikar Pe Hum Baat Badal Dete Hain; Kitni Raghbat Thi Tere Naam Se Pehle-Pehle! |
Main Chahta Hun Aik Aasiyana Ho; Jo Wabasta Sirf Tum Se Ho! |
Woh Aa Rahe Hain, Wo Aate Hain, Aa Rahe Honge; Shab-e-Firaq Ye Keh Kar Guzaar Di Hum Ne! |
Tujhe Bhool Jana To Mumkin Nahin Hai; Magar Bhool Jane Ko Jee Chahata Hai! |
Yeh Mumkin Nahi Ki Sab Log Hi Badal Jaate Hain; Kuch Halaat Ke Saanchon Mein Bhi Dhal Jate Hain! |
Roj Aata Hai Mere Dil Ko Tasalli Dene, Khayal-e-Yaar Ko Mera Khayal Kitna Hai! |
Har Ek Haseen Chehre Mein Gumaan Uska Tha, Basaa Na Koi Dil Mein Ye Makaan Uska Tha, Tamaam Dard Mit Gaye Mere Dil Se Lekin, Jo Na Mit Saka Woh Ek Naam Uska Tha! |
Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinaara Nahi; Tu Aabju Ise Samajha Agar To Chaara Nahin! Khudi: Sense of Self Bahar: Sea, A poetic meter Aabju: Rivulet |
Mere Guzre Hue Tewar Abhi Bhooli Nahi Duniya; Abhi Bikhri Hui Hain Har Taraf Parchaiyaan Meri! Tewar: Moods |