Be Piye Hi Sharaab Se Nafrat; Ye Zahaalat Nahin To Phir Kya Hai! |
Humein Peene Se Matlab Hai Jagah Ki Qaid Kya 'Bekhud', Usi Ka Naam Kaba Rakh Diya, Botal Jahan Rakh Di! |
Tum Kya Jano Sharab Kaise Pilayi Jaati Hai, Kholne Se Pehle Botal Hilayi Jaati Hai; Phir Aawaaz Lagayi Jaati Hai Aa Jao Tute Dil Walo, Yahan Dard-e-Dil Ki Dawa Pilayi Jaati Hai! |
Tere Ehsas Ne Humein Aisa Nasha Diya; Ki Ab Sharab Se Nafrat Si Ho Gayi Hai! |
Nasha Mohabbat Ka Ho Ya Sharab Ka; Hosh Dono Mein Kho Jate Hain; Fark Sirf Itna Hai Ki Sharab Sula Deti Hai; Aur Mohabbat Rula Deti Hai! |
Aaye The Hanste Khelte Mai-Kade Mein Firaq; Jab Pee Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye! |
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai; Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai; Humein Aap Yoon Hi Sharabi Na Kahiye; Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai! |
Khudaa Maujood Hai Puri Duniya Mein, Kahin Bhi Jagah Nahi; Tu Jannat Mein Jaa, Wahan Peena Mana Nahi! |
Peete Hain Apne Maze Ke Liye, Khaamkhaan Badnaam Gham Hai, Poori Botal Pee Kar Dekho, Phir Duniya Kya Jannat Se Kam Hai! |
Peete Hai Gham e Duniya Bhulaa Ne Ke Liye, Aur Koi Baat Nahi; Jannat Main Kahan Gham Hai, Waha Peene Kaa Mazaa Nahi! |