Ye Kis Ne Tum Se Galat Kaha Mujhe Karvaan Ki Talaash Hai;
Jahan Main Hun Tum Ho Koi Na Ho Mujhe Is Jahaan Ki Talaash Hai!
Agar Main Sach Kahun To Sabar Hi Ki Azmaish Hai;
Ye Mitti Imtihan Pyare Ye Paani Azmaish Hai!
Saja Rahega Andheron Se Hi Khandhar Mera;
Ik Ik Kar Ke Hua Khatam Ab Safar Mera!
Tareek Shab Hai Aur Larazte Hue Charagh;
Lagte Nahi Hain Subah Ke Asar Moatabar!
Tere Bin Raat Ke Haathon Pe Ye Taaron Ke Ayagh;
Khoobsurat Hain Magar Zehar Ke Pyalon Ki Tarah!
Kise Batayein Ki Zad-e-Safar Gaya Kab Ka;
Raha Hi Kya Hai Gham-e-Motabar Gaya Kab Ka!
Kya Koi Tasveer Ban Sakti Hai Surat Ke Baghair;
Phir Kisi Se Kyon Mile Koi Zaroorat Ke Baghair!
Dhund Mein Doobi Saari Faza Thi Us Ke Baal Bhi Geele The;
Jis Ki Ankhen Jheelon Jaisi Jis Ke Honth Raseele The!
Aisa Na Ho Ki Sakht Ka Ho Sakht-Tar Jawab;
Yaaron Sambhal Ke Vaar Karo Main Nashe Mein Hun!
Jale Chirag Bujhane Ki Zidd Nahi Karte;
Ab Aa Gaye Ho To Jaane Ki Zidd Nahi Karte!



