Gair Ke Saath Kabhi Zikar Hamara Na Karein,
Hum Ko Badnaam Karen Ishq Ko Ruswa Na Karein;
Dil Ye Kehta Hai Muqaddar Hai Pareshan Rehna,
Akal Kehti Hai Ki Hum Zulf Ka Sauda Na Karein!
Anjaan The Hum Anajaan Hi Rehne Do,
Kisi Ki Yaadon Mein Humein Pal Pal Yun Hi Marne Do;
Kyon Karte Ho Badnaam Lekar Naam Hamaara,
Ab To Is Naam Ko Gumnaam Rehne Do!
Keh Raha Hai Shor-e-Dariya Se Samandar Ka Sukut;
Jis Ka Jitna Zarf Hai Utna Hi Wo Khamosh Hai!
Shohrat Ki Bulandi Bhi Pal Bhar Ka Tamasha Hai;
Jis Daal Pe Baithe Ho Wo Toot Bhi Sakti Hai!
Ai 'Zauq' Takalluf Mein Hai Takleef Sarasar;
Aaram Mein Hai Woh Jo Takalluf Nahi Karta!
Zamana Bade Shaunk Se Sun Raha Tha;
Humin So Gaye Dastaan Kehte Kehte!
Hawa Ke Dosh Pe Rakhe Hue Chiragh Hain Hum;
Jo Bujh Gaye Toh Hawa Se Shikayatein Kaisi!
Aah! Jaan Soz Ki Mahrumi-e-Taaseer Na Dekh,
Ho Hi Jayegi Jeene Ki Koi Tadbeer Na Dekh;
Haadse Aur Bhi Guzre Hain Teri Ulfat Ke Siva,
Haan Mujhe Dekh, Ab Meri Tasveer Na Dekh!
Tum Se Zazbaat The Jab Tum Hi Nahi,
Phir Zamane Se Shikayat Na Rahi!
Duniya Ke Jo Maze Hain Harghiz Wo Kam Na Honge;
Charche Yun Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge!



