
Suna Hai Teri Mehfil Mein Sukun-e-Dil Bhi Milta Hai;
Magar Hum Jab Teri Mehfil Se Aaye Be-Qarar Aaye!

Suna Hai Log Use Aankh Bhar Ke Dekhte Hain,
So Us Ke Shehar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain;
Suna Hai Rabt Hai Us Ko Kharab-Haalon Se,
So Apne Aap Ko Barbad Kar Ke Dekhte Hain!

Kaanton Se Dil Lagao Jo Ta-Umar Saath Den;
Phoolon Ka Kya Jo Saans Ki Garmi Na Sah Saken!

Kaghaz Mein Dab Ke Mar Gaye Keede Kitab Ke;
Deewana Be-Padhe-Likhe Mashoor Ho Gaya!

Hazar Baar Jo Manga Karo To Kya Hasil;
Dua Wahi Hai Jo Dil Se Kabhi Nikalti Hai!

Sab Ne Kaha Dosti Ek Dard Hai,
Hum Ne Kaha Qubool Hai;
Sab Ne Kaha Is Dard Ke Saath Jee Nahi Paoge,
Hum Ne Kaha Teri Dosti Ke Saath Marna Bhi Qubool Hai!

Kyon Maang Rahe Ho Kisi Barish Ki Duayein;
Tum Apne Shikasta Dar-o-Deewar To Dekho!
* Shikasta:Broken

Siyah Ped Hain Ab Aap Apni Parchayin,
Zameen Se Ta-mah-o-Anjum Sukut Ke Minar;
Jidhar Nigah Karen Ik Athah Gum-Shudgi,
Ek Ek Kar Ke Fasurda Charaghon Ki Palken!

Hairat Se Takta Hai Sahra Barish Ke Nazrane Ko;
Kitni Door Se Aayi Hai Ye Ret Se Haath Milane Ko!

Dil Na Pahuncha Gosha-e-Daman Talak,
Qatra-e-Khoon Tha Mizha Par Jam Raha;
Sunte Hain Laila Ke Kheme Ko Siyah,
Us Mein Majnun Ka Magar Matam Raha!