Hum Is liye Tumse Mohabbat Karte Hain;
Ki Hamara To Koi Nahi, Tumhara To Koi Ho!
Yeh Husn Tera Yeh Ishq Mera, Rangeen To Hai Badnaam Sahi;
Mujh Par To Kai Ilzaam Lage, Tujh Par Bhi Koi Ilzaam Sahi!
Reh Na Paoge, Kabhi Bhula Kar Dekh Lo;
Yaqeen Nahi Aata, To Aazmaa Kar Dekh Lo;
Har Jagah Mehsoos Hogi Kami Hamari;
Apni Mehfil Ko Kitna Bhi Saja Kar Dekh Lo!
Mohabbat Mein Kuch Aisa Kar Jana Hi Banta Hai;
Main Zinda Hoon Magar Mera Mar Jana Banta Hai!
Mujhe Maloom Hai Tum Bahut Khush Ho Is Judai Se;
Ab Bas Khayal Rakhna Tumko Hum Jaisa Nahi Milega!
Chahat Bhari Hai Rakabat Nahi Mili;
Kahin Par Bhi Sadakat Nahi Mili!
Aankh Ki Ek Hasrat Thi Jo Poori Hui;
Aansuon Mein Bheeg Jane Ki Khwahish Poori Hui!
Safar Zindagi Ka Kaise Katega Aakhir;
Dilon Se Nafrat Ke Parde Hatao Yaaro!
Jiske Paas Sirf Sikke The Woh Maze Se Bheegte Rahe Barish Mein;
Jiske Jeb Mein Note The Woh Chhatt Talashte Reh Gaye!
Ek Shaam Mohabbat Ki Lagao Yaaro;
Jo Roothe Hain Inko Bhi Bulao Yaaro!



