
Aatish-e-Ishq Woh Jahannam Hai;
Jish Mein Firdaus Ke Nazare Hain!

Apne Usool Kabhi Yun Bhi Todne Pade,
Khata Uski Thi Hath Mujhe Jodne Pade!

Aashiqui Mein Bahut Zaruri Hai,
Bewafai Kabhi Kabhi Karna!

Dil Tutne Par Bhi Jo Shakhs Shikayat Bhi Na Kare,
Uss Shakhs Ki Mohabbat Mein Kamiyan Na Nikala Kar!

Aarzu Hai Ki Tu Yahan Aaye;
Aur Phir Umar Bhar Na Jaye Kahin!

Na Gila Hai Koi Halaat Se, Na Shikayatien Kisi Ki Zaat Se;
Khud He Sare Lafz Judaa Ho Rahe Hain Meri Zindagi Ki Kitab Se!

Aap Daulat Ke Tarazu Mein Dilon Ko Taulen,
Hum Mohabbat Se Mohabbat Ka Sila Dete Hain!

Koi Chirag Jalata Nahin Saleeke Se,
Magar Sabhi Ko Shikwa Hawa Se Hota Hai!

Aakhiri Hichki Tere Junoonn Pe Aaye;
Maut Bhi Main Shairana Chahta Hun!

Andheri Raat Ko Main Roz-e-Ishq Samjha Tha;
Chirag Tune Jalaya Toh Dil Bujha Mera!