Dil Giraftaa Hi Sahi:

Dil Giraftaa Hi Sahi Bazm Saja Li Jaye,
Yaad-e-Janan Se Koi Shaam Na Khaali Jaye;

Rafta-Rafta Yahi Zandaan Mein Badal Jate Hain,
Ab Kisi Shehar Ki Buniyaad Na Daali Jaye;

Mushaf-e-Rukh Hai Kisi Ka Ki Beyaaz-e-Hafiz,
Aise Chehre Se Kabhi Faal Nikaali Jaye;

Woh Murawwat Se Mila Hai To Jhukadun Gardan,
Mere Dushman Ka Koi Waar Na Khaali Jaaye;

Be-Nawaa Shehar Ka Saaya Hai Mere Dil Pe 'Faraz',
Kis Tarah Se Meri Aashufta Khyaali Jaye!

sms

Aur Bhi Gham Hain Zamaane Mein Mohabbat Ke Siva,
Raahtein Aur Bhi Hain Vasl Ki Raahat Ke Siva!

sms

Udaas Na Baitho Fiza Tang Karegi,
Guzre Hue Lamhon Ki Saza Tang Karegi;
Kisi Ko Na Lao Dil Ke Itna Qareeb,
Kyon Ki Uske Jaane Ke Baad Uski Har Ada Tang Karegi!

sms

Ibtidaa-e-Ishq Hai Rota Hai Kya,
Aage Aage Dekhiye Hota Hai Kya!

sms

Toot Jate Hain Bikhar Jate Hain,
Kaanch Ke Ghar Hain Muqaddar Apne;
Ajnabi To Sada Pyaar Se Milte Hain,
Bhool Jate Hain To Aksar Apne!

sms

Jin Ke Angan Mein Ameeri Ka Shajar Lagta Hai,
Un Ka Har Aib Bhi Zamane Ko Hunar Lagta Hai!

sms

Kahan Koi Aisa Mila Jis Par Dil Luta Dete,
Har Ek Ne Dhokha Diya Kis-Kis Ko Bhula Dete;
Hum Apna Gham Dil Mein Dabaye Phirte Hain,
Karte Hain Bayan To Mehfil Ko Rula Dete Hain!

sms

Haathon Ki Lakeeroon Pe Mat Ja Ai Ghalib,
Naseeb Unke Bhi Hote Hain Jinke Haath Nahi Hote!

sms

Raat Hogi To Chaand Bhi Dikhai Dega,
Khwabon Mein Tumhein Woh Chehra Bhi Dikhai Dega;
Yeh Mohabbat Hai Zara Soch Ke Karna,
Kyon Ki Ek Aansu Bhi Gira To Sunai Dega!

sms

Teri Majburiyan Durust Magar;
Tu Ne Vaada Kiya Tha Yaad To Kar!

End of content

No more pages to load

Next page