
Woh Aa Rahe Hain, Wo Aate Hain, Aa Rahe Honge;
Shab-e-Firaq Ye Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!

Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain,
Inhi Se Aansu Aahein Aangan Aangan Hain;
Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka,
Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai!

Aaj Dekha Hai Tujh Ko Dair Ke Baad;
Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin!

Beemar Ko Marz Ki Dawa Deni Chahiye;
Main Peeta Hun Pila Deni Chahiye!

Aasman Aur Zameen Ka Tafawat Har Chand;
Ae Sanam Door Hi Se Chand Ka Sa Mukhra Dikhla!

Tum Ne Kiya Na Yaad Kabhi Bhool Kar Humein;
Hum Ne Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Diya!

Kitabon Ki Tarah Hai Woh Bhi;
Alfaaz Se Bharpur Magar Khamosh!

Kaun Kehta Hai Ki Maut Aayi Toh Mar Jaun Ga;
Main Toh Darya Hun Samandar Mein Utar Jaun Ga!

Bila Ki Chamak Us Ke Chehre Pe Thi;
Mujhe Kya Khabar Thi Ki Mar Jayega!

Lakh Kehte Rahen Zulmat Ko Zulmat Na Likhna;
Ham Ne Sekha Nahi Payare Be-Ijazat Likhna!