
Kab Bhulaye Jaate Hain Dost Judaa Ho Kar Bhi Wasi;
Dil Toot Toh Jaata Hai Rehta Phir Bhi Seene Mein Hai!

Dene Wale Ki Mashyat Pe Hai Sab Kuch Moqoof;
Mangne Wale Ki Hazat Nahi Dekhi Jati!

Woh Aa Rahe Hain Woh Aate Hain Aa Rahe Honge;
Shab-e Firaaq Yeh Keh Kar Guzaar Di Hum Ne!

Yeh Shaam Bahut Tanha Hai Milne Ki Bhi Talab Hai,
Par Dil Ki Sadaaon Mein Woh Taqat Hi Kahan Hai;
Koshish Toh Bahut Ki Aur Bharosa Bhi Bahut Tha,
Mil Jaayein Bichhad Kar Woh Qismat Hi Kahan Hai!

Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Qissa Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Ek Aham Hissa Hai Mera;
Meri Mohabbat Tujh Se Sirf Lafzon Ki Nahi Hai,
Teri Rooh Se Rooh Tak Ka Rishta Hai Mera!

Udhar Se Chand Tum Dekho, Idhar Se Chand Ham Dekhen;
Nigahein Yun Takrayein Ki Do Dilon Ki Eid Ho Jaye!

Ab To Humein Bhi Tark-e Mrasam Ka Dukh Nahi;
Par Dil Ye Chahta Hai Ki Aaghaz Tu Kare!
Charde Suraj:
Charde Suraj Dhalde Vekhe,
Bhuje Deewe Balde Vekhe;
Heere Da Koi Mull Na Taare,
Khote Sikke Chalde Vekhe;
Jinha Da Na Jag Te Koi,
Oh Vi Puttar Palde Vekhe;
Ohdi Rehmat De Nal Bande,
Pani Utte Chalde Vekhe;
Loki Kehnde Daal Nahi Galdim,
Main Te Patthar Galde Vekhe!

Jaise Meri Nigaah Ne Dekhaa Na Ho Kabhi;
Mehsoos Ye Hua Tujhe Har Baar Dekh Kar!

Zikr Jab Chhid Geya Qayamat Ka;
Baat Pahunchi Teri Jawani Tak!