
Kuch Naye Sapne Usi Ke Dekhne Hain Phir Mujhe,
So Geya Hun Main Baha Kar Jiski Yaadein Aankh Se!

Woh Nafratein Paale Rahe Hum Pyaar Nibhate Rahe,
Lo Yeh Zindagi Bhi Kat Gayi Khaali Haath Si!

Dil Hi Toh Hai Na Aaye Kyon, Dam Hi Toh Hai Na Jaye Kyon;
Hum Ko Khudaa Jo Sabar De Tujh Se Haseen Banaye Kyon!

Jab Teri Yaadon Ko Aas-Paas Pata Hun,
Khud Ko Bahut Zyada Udaas Pata Hun;
Tujhe Toh Mil Gayi Khushiyan Zamane Bhar Ki,
Main Ab Bhi Dil Mein Wahi Pyaas Pata Hun!

Dushmano Ko Sazaa Dene Ki Ek Tehjeeb Hai Meri,
Main Haath Nahi Uthata Nazron Se Gira Deta Hun!

Teri Dhadkan Hi Zindagi Ka Qissa Hai Mera,
Tu Zindagi Ka Ek Aham Hissa Hai Mera,
Meri Mohabbat Tujhse Sirf Lafzo Ki Nahi Hai,
Teri Rooh Se Rooh Tak Ka Rishta Hai Mera!

Pyaar Toh Zindgi Ko Sajaane Ke Liye Hai,
Par Zindgi Bas Dard Badhane Ke Liye Hai;
Mere Andar Ki Udaasi Kash Koi Padh Le,
Ye Hansta Hua Chehra To Zamane Ke Liye Hai!

Itna Betaab Na Ho Mujhse Bichhadne Ke Liye,
Tujhe Aankhon Se Nahi Mere Dil Se Juda Hona Hai!

Udasi Jab Tum Par Beetegi Toh Tum Bhi Jaan Jaoge,
Koi Nazar-Andaaz Karta Hai Toh Kitna Dard Hota Hai!

Koi Hanse Toh Tujhe Gham Lage Khushi Na Lage,
Yeh Dil Ki Lagi Thi Dil Ko Dillagi Na Lage;
Tu Roj Uthh Kar Roya Kare Chandni Raaton Mein,
Khuda Kare Ki Tera Bhi Mere Bina Dil Na Lage!