sms

Is Kufr-e-Ishq Se Mujhe Kyon Rokte Ho Tum,
Imaan Walo Mera Hi Imaan Jayega;
Aaj Us Se Maine Shikwa Kiya Tha Shararatan,
Kis Ko Khabar Thi Itna Bura Maan Jayega!

sms

Jo Dil Rakhte Hain Seene Mein Woh Kaafir Ho Nahi Sakte;
Mohabbat Deen Hoti Hai Wafa Imaan Hoti Hai!

sms

Kitni Lambi Khamoshi Se Guzra Hun;
Un Se Kitna Kuch Kehne Ki Koshish Ki!

sms

Aaj Bhi Shayad Koi Phulon Ka Tohfa Bhej De;
Titliyan Mandla Rahi Hain Kanch Ke Gul-Dan Par!

sms

Dair Ho Kaaba Ho Ki Dil Kis Mein Vo Jalwa-Gar Nahi,
Dekh Sakun Magar Use Itni Meri Nazar Nahi;
Kunj-e-Qafas Mein Andalib Muztar-o-Bekas-o-Gharib,
Kehne Ko Bal-o-Par To Hain Udne Ko Bal-o-Par Nahi!

sms

Ye Soch Ke Maa Baap Ki Khidmat Mein Laga Hun;
Is Ped Ka Saaya Mere Bachchon Ko Milega!

sms

Jis Ne Jala Ke Dil Mera Hijr Ki Shab Mita Diya,
Shamen Jalane Aaya Hai Ab Woh Sar-e-Mazar Kya;
Uth Gayi Jis Taraf Nazar Hashr Sa Ik Bapa Hua,
Un Ki Nigah-e-Naaz Hai Fitna-e-Rozgar Kya!

* Fitna-e-Rozgar: Mischievousness

sms

Izhaar-e-Ishq Us Se Na Karna Tha 'Shefta';
Ye Kya Kiya Ki Dost Ko Dushman Bana Diya!

sms

Dil Se Agar Kabhi Tera Armaan Jayega,
Ghar Ko Laga Ke Aag Ye Mehmaan Jayega;
Sab Honge Us Se Apne Taaruf Ki Fikr Mein,
Mujh Ko Mere Sukut Se Pehchan Jayega!

sms

Dushmanon Ki Jafa Ka Khauf Nahi;
Doston Ki Wafa Se Darte Hain!

End of content

No more pages to load

Next page