
Maine Chaha Hai Tujhe Aam Se Insan Ki Tarah;
Tu Mera Khwab Nahi Hai Jo Bikhar Jayega!

Zabat Bhi Sabar Bhi Imkaan Mein Sab Kuch Hai;
Pehle Kambakht Mera Dil Tu Mera Dil Ho Jaye!

Jise Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskarate The;
Mujhe Kaghaz Ki Woh Kashti Zara Phir Se Bana Dena!

Aaj Bhi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha,
Chehra Wohi Tha Chehre Ka Libas Wohi Tha;
Kaise Us Ko Bewafa Keh Dun Yaaro,
Aaj Bhi Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha!

Kehte Hain Jeete Hain Umeed Pe Log;
Hum Ko Jeene Ki Bhi Umeed Nahi!

Bure Bande Nu Main Labhan Turya Par Bura Labhya Na Koi;
Jad Main Andar Jhati Payi Te Maitho Bura Na Koi!

Na Mila Kar Udaas Logo Se;
Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin!

Dost Ban Kar Bhi Nahi Saath Nibahne Wala;
Wo Hi Andaaz Hai Zalam Ka Zamane Wala!

Yun Nakaam Rahenge Kab Tak Ji Mein Hai Ik Kaam Karein;
Ruswa Ho Kar Mar Jayein Us Ko Bhi Badnam Karein!

Samraj Ko Dost Hamare Dushman Hain,
Inhi Se Aansu Aahen Aangan Aangan Hain;
Inhi Se Qatal-e-Aam Hua Aashaon Ka,
Inhi Se Veeran Umeedon Ka Gulshan Hai!