sms

Apni Tamanna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Humne,
Uss Ki Khushi Dhundhte Rahe Toh Badnaam Ho Gaye!

sms

Palkon Ki Zanjeero Mein Teri Tasveer Chupai,
Hathon Ki Lakiron Mein Teri Taqdeer Sajai!

sms

Tera Na Milna Mera Naseeb Hi Sahi Lekin,
Ai Sanam Meri Qismat Mein Likha Hai Tujhe Toot Ke Chahna!

sms

Aaine Kee Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye,
Jaane Ab Kya Kya Dikhayega Tumhaara Dekhna!

sms

Ek Kahani Si Dil Par Likhi Reh Gayi,
Woh Nazar Jo Mujhe Dekhti Reh Gayi;
Log Aakar Bazaar Mein Bik Bhi Gaye,
Meri Keemat Lagi Ki Lagi Reh Gayi!

sms

Aukha Langda Eh Waqt Vichhore Da,
Bin Yaar Guzara Kaun Kare;
Ik Din Hove Taan Lang Jaave,
Sari Umar Guzara Kaun Kare!

sms

Yeh Bahein Humein Jab Apni Panahon Mein Bulati Hain,
Humein Apni Kasam Hum Har Sahara Bhool Jaate Hain!

sms

Har Roz Koi Khwaab Toot Jata Hai;
Har Roz Koi Apna Rooth Jata Hai;
Na Jaane Meri Qismat Mein Kya Hai;
Jise Main Yaad Karun Wohi Mujhe Bhool Jata Hai!

sms

Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahi;
Aadat Jo Padh Gayi Thi Tere Intezar Kee!

Pani Aankh Mein Bhar Kar:

Pani Aankh Mein Bhar Kar Laya Ja Sakta Hai,
Ab Bhi Jalta Shehar Bachaya Ja Sakta Hai;

Ek Mohabbat Aur Woh Bhi Nakam Mohabbat,
Lekin Iss Se Kaam Chalaya Ja Sakta Hai;

Dil Par Paani Peene Aati Hain Umeedein,
Iss Chashme Mein Zeher Milaya Ja Sakta Hai;

Mujh Gumnaam Se Puchte Hain Farhaad-o-Majnoon,
Ishq Mein Kitna Naam Kamaya Ja Sakta Hai;

Yeh Mehtab Yeh Raat Kee Peshani Ka Ghav,
Aisa Zakham To Dil Par Khaya Ja Sakta Hai;

Phata Purana Khwaab Hai Mera Phir Bhi Tabish,
Iss Mein Apna Aap Chupaya Ja Sakta Hai!

End of content

No more pages to load

Next page