
Ai Jazbaa, Ai Dil Gar Main Chahoon Har Cheez Muqabil Aa Jaye;
Manzil Ke Liye Do Gaam Chalun Aur Saamne Manzil Aa Jaye!

Woh Humse Apni Marzi Se Baat Karte Hain;
Aur Hum Bhi Kitne Pagal Hain Ki Unki Marzi Ka Intezaar Karte Hain!

Uski Aankhon Mein Nazar Aata Hai Sara Jahaan Mujhko;
Afsos Ki Un Aakhnon Mein Kabhi Khud Ko Nahi Dekha!

Girte Rahe Hum Sajdon Mein Hasrat-e-Ishq Ki Khaatir;
Agar Ibadat-e-Khuda Mein Gire Hote To Zindgi Jannat Ban Jati!

Apni Tamanna Se Kabhi Kuch Nahi Chaha Tha Humne,
Uss Ki Khushi Dhundhte Rahe Toh Badnaam Ho Gaye!

Aksar Hum Apni Raat Yun Barbaad Karte Hain,
Baith Ke Kisi Kone Mein Unko Yaad Karte Hain;
Unke Vapis Aane Ki Ummeed Toh Chhod Di Kab Ki,
Phir Bhi Na Jane Kyon Hum Apna Waqt Barbaad Karte Hain!

Qadam Insan Ka Raah-e-Dahar Mein Tharra Hi Jaata Hai;
Chale Kitna Hi Koi Bach Ke, Thokar Kha Hi Jaata Hai!
Rah-e-Dahar: In The Paths Of This World

Jab Lafz Thak Gaye To Phir Aankhon Ne Baat Kee;
Jo Baatein Aankhein Na Keh Saki Woh Phir Ashkon Se Bayaan Hui!

Na Saath Hai Kisi Ka Na Sahara Hai Koi,
Na Hum Hain Kisi Ke Na Hamara Hai Koi!

Jo Aata Hai Khushi Ki Inteha Par;
Bahut Roye The Us Aansu Ki Khatir!