
Kyon Na Gurur Karun Khud Par;
Mujhe Usne Chaha, Jisko Chahne Wale Hazaar The!

Ab Milen Hain To Gamon Ke Ziqr Se Hat Kar Milen;
Jo Bhi Hona Hoga Ek Din Faisla Ho Jayega!
Ziqr: Mention
Faisla: Descision

Daag Itraye Hue Phirte Hain Aaj;
Shayad Unki Aabru Hone Lagi!
Itraye: Flaunt, Strut
Aabru: Respect

Jaate Hue Kehte Ho Qayamat Ko Milenge;
Kya Khoob Qayamat Ka Hai Goya Koi Din Aur!

Khudi Woh Behar Hai Jis Ka Koi Kinara Nahin;
Tu Aabjoo Usse Samjha Agar To Chara Nahin!

Raah Mein Baitha Hoon Tum Sang-e-Rah Samjho Mujhe;
Aadmi Ban Jaaunga Kuch Thokren Khaane Ke Baad!
Sang-e-Rah: A Stone On The Road, Milestone

Rone Ki Sazaa Hai Na Rulaane Ki Sazaa Hai;
Yeh Dard Mohabbat Ko Nibhane Ki Sazaa Hai;
Hanste Hain Toh Aankhon Se Nikalte Hain Aansoo;
Yeh Uss Shakhs Se Dil Lagaane Ki Sazaa Hai!

Dushmano Ne Jo Dushmani Ki Hai;
Doston Ne Bhi Kya Kami Ki Hai!

Mana Ki Teri Deed Ke Kaabil Nahi Hun Main;
Tu Mera Shaunk Dekh, Mera Intezaar Dekh!

Yeh Zabt Chhoot Geya Toh Tumhari Yaad Aayi;
Main Thak Ke Toot Gaya Toh Tumhari Yaad Aayi;
Tumhare Baad Na Tha Koi Mera Dil Ke Siwa;
Yeh Dil Bhi Rooth Geya Toh Tumhari Yaad Aayi!