
Mil Hi Jayega Koi Na Koi Toot Ke Chahne Wala;
Ab Shehar Ka Shehar Toh Bewafa Ho Nahi Sakta!

Aa Jaati Hai Neend Aankhon Ki Thakawat Se;
Khayalon Se Abb Toh Yeh Thak Chuki Hain Yun Hi.
Kab Tak Intezaar Mein Hum Hairan Honge;
Yeh Mohabbat Ke Qisse Kab Anjaam Honge!
Jaane Kyon Doob Jata Hun Har Bar Inhein Dekh Kar;
Ek Dariya Hai Ya Poora Samandar Hai Teri Aankhein!

Tu Badnaam Na Ho Isliye Jee Raha Hun Main,
Varna Marne Ka Irada Toh Roz Hota Hai!

Woh Toh Apna Dard Ro-Ro Kar Sunate Rahe,
Hamari Tanhayion Se Bhi Aankh Churate Rahe;
Humein Hi Mil Geya Khitab-e-Bewafa Kyonki,
Hum Har Dard Muskura Kar Chhupate Rahe!

Jao Humein Mohabaat Nahi Khuda Chahiye;
Kab Tak Minaat Karein Yeh Bedard Husn Walon Ki!

Woh Kar Nahi Rahe The Meri Baat Ka Yakeen;
Phir Yun Hua Ki Mar Ke Dikhana Pada Mujhe!

Humein Dekh Kar Jab Usne Munh Mod Liya;
Ek Tasalli Ho Gayi Chalo Pehchante Toh Hain!

Main Ab Supurd-e-Khaak Hun Mujh Ko Jalana Chhod De,
Qabr Par Meri Tu Uske Saath Aana Chhod De;
Ho Sake Gar Tu Khushi Se Ashq Peena Seekh Le,
Ya Tu Aankhon Mein Apni Kajal Lagana Chhod De!

Tasavuur Mein Na Jaane Katib-e-Taqdir Kya Tha;
Mera Anjaam Likha Hai Mere Aagaaz Se Pahle!