
Tere Shehar Mein Aake Benaam Se Ho Gaye;
Teri Chahat Mein Apni Muskaan Hi Kho Gaye;
Jo Doobe Teri Mohabbat Mein To Aise Doobe;
Ki Jaise Teri Aashiqui Ke Ghulam Hi Ho Gaye!

Woh Humein Bhool Bhi Jaye Toh Koi Gham Nahi;
Jana Unka Jaan Jane Se Bhi Kam Nahi;
Jane Kaise Jakhm Diye Hai Usne Iss Dil Ko;
Ki Har Koi Kehta Hai Ki Iss Dard Ka Koi Marham Nahi!

Taqleef Mein Tu Bhi Hai;
Dard Mein Main Bhi Hun;
Tujhe Gham Hai Mujhe Chahne Ka;
Mujhe Khauf Hai Tujhse Judaa Hone Ka!

Ek Adhuri Khwahish Meri Poori Ho Jaye;
Mujhe Yaad Karna Unki Mazboori Ho Jaye;
Ai Khudaa Kuch Aisi Taqdeer Bana De;
Ki Unki Har Khushi Hamare Bina Adhuri Ho Jaye!

Jab Tum Saath The Toh Gham Bhi Has Ke Seh Lete The Hum;
Ab Jo Nahi Ho Saath Toh Khushiyan Bhi Sahi Nahi Ja Rahi Hain!

Shayaron Ki Basti Mein Kadam Rakha To Jana;
Ghamon Ki Mehfil Bhi Kamaal Jamti Hai!

Gham To Hai Har Ek Ko;
Magar Haunsla Hai Juda-Juda;
Koi Toot Kar Bikhar Geya;
Koi Muskura Ke Chal Diya!

Arz-O-Sama Kahan Tiri Vusat Ko Paa Sake;
Mera Hi Dil Hai Wo Ki Jahan Tu Sama Sake!
~ Meer Dard

Kash Woh Aa Jayein Aur Dekh Kar Kahin Mujhse;
Hum Mar Gaye Hain Kya Jo Itne Udaas Rehte Ho!

Aur Kya Likhun Apni Zindagi Ke Baare Mein;
Jo Zindagi Hua Karte The Woh Hi Bichhad Gaye!