
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaaye;
Dushmanon Ki Bhi Raai Li Jaaye!

Aadmiyon Se Bhari Hai Yah Sari Duniya Magar;
Aadami Ko Aadami Hota Nahin Hai Dastyaab!

Dil Ki Veerani Ka Kya Mazkoor Hai;
Ye Nagar Sau Martba Loota Geya!

Achha Hai Dil Ke Saath Rahe Paasbaan-e-Akal;
Lekin Kabhi-Kabhi Ise Tanha Bhi Chhod De!

Jo Nigah-e-Naaz Ka Bismil Nahin;
Dil Nahin, Wo Dil Nahin, Wo Dil Nahin!

Tumhara Dil Mere Dil Ke Barabar Ho Nahi Sakta;
Wo Sheesha Ho Nahi Sakta Ye Patthar Ho Nahi Sakta!

Mere Geet Sune Duniya Ne Magar;
Mera Dard Koi Na Jaan Saka;
Ek Tera Sahara Tha Dil Ko;
Tu Bhi Na Mujhe Pehchan Saka!

Ab To Hai Ishq-e-Buta Mein Zindagani Ka Maza;
Jab Khuda Ka Saamana Hoga To Dekha Jaayega!

Us Shakhs Se Bas Itna Sa Taalluk Hai Faraz;
Wo Pareshan Ho To Humein Neend Nahin Aati!

Dil Se Aapka Khayal Jata Nahi;
Aapke Siva Koi Yaad Aata Nahi;
Jee Chahta Hai Ke Aapko Roz Dekhun Par;
Woh Waqt Kabhi Aata Nahi!