
Pyar Tha Mohabbat Thi Ishq Tha Ada Thi;
Agar Wafa Bhi Hoti Toh Qayamat Tha Woh Shakhsh!

Ja Tujhe Tere Haal Pe Chhoda;
Is Se Behtar Teri Saza Bhi Kya Hai!

Raat Ki Tanhai Mein Akele The Hum;
Dard Ki Mehfilo Mein Ro Rahe The Hum,;
Aap Hamare Bina Bhale Hi Kuch Nahi Lagte;
Par Fir Bhi Aapke Bina Bilkul Adhoore Hain Hum!

Bheed Itni To Na Thi Shahr Ke Bazaaron Mein;
Mujhe Khone Wale Tune Kuch Der To Dhoonda Hota!

Insaan Kehta Hai Ki Paisa Aaye To Main Kuch Karke Dikhaun;
Aur Paisa Kehta Hai Ki Tu Kuch Karke Dikhaye To Main Aaun!

Kuch Baat Hai Teri Baaton Mein;
Jo Baat Yahan Tak Aa Pahunchi;
Hum Dil Se Gaye Dil Tum Pe Geya;
Aur Baat Kahan Par Ja Pahunchi!

Jee Dhoondhta Hai Fir Wahi Fursat Ke Raat Din;
Baithe Rahen Tasavvur-e-Jaanaan Kiye Huye!

Koi Ummeed Bar Nahi Aati;
Koi Soorat Nazar Nahi Aati!

Mulaqat Bhi Kabhi Aansu De Jati Hai;
Nazrein Bhi Kabhi Dhokha De Jati Hain;
Guzre Hue Lamhon Ko Yaad Karke Dekhiye;
Tanhai Bhi Kabhi Kabhi Sukoon De Jati Hai!

Ek Bar Phir Se Niklengey Talash-e-Ishq Mein;
Dua Karo Yaaron Iss Bar Koi Bewafa Na Mile!