
Aatish-e-Gam Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte;
Ashk-e-Paiham Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte;
Tum Humein Bhool Hi Jaao Mere Adil Ab Toh;
Hum Tumhe Gam Ke Siva Kuch Bhi Nahi De Sakte!

Kitna Hasin Chaand Sa Chehra Hai;
Uspe Shabab Ka Rang Gehra Hai;
Khuda Ko Yakin Na Tha Wafa Pe;
Tabhi To Ek Chaand Pe Hazaaro Taaro Ka Pehra Hai!

Ye Aur Baat Hai Ki Aandhi Hamare Bas Mein Nahi,
Magar Chirag Jalana To Ikhtiyar Mein Hai!

Khoobiyan Itni To Nahi Hum Mein Ki Tumhein Kabhi Yaad Aayenge Lekin,
Itna To Aitbar Hai Humein Khud Par Ki Aap Kabhi Bhool Nahi Payenge!

Aankhon Mein Haya Ho Toh Parda Dil Ka Hi Kaafi Hai;
Nahi To Naqaab Se Bhi Hote Hain, Ishaare Mohabbat Ke!

Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin;
Aadat Jo Parr Gayi Thi Tere Intzaar Kee!

Woh To Khushbu Hai Hawaaon Mein Bikhar Jayega;
Masla Phool Ka Hai, Phool Kidhar Jaayega!

Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;
Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De!

Jaane Kyon Sare Jahan Se Ho Gaye Hain Bekhabar;
Jab Se Tum Aankhon Mein Aaye Ho Har Pal Jagti Hai Yeh Nazar!

Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!