Tujhe Paane Ki Koshish Mein Kuch Itna Kho Chuka Hun Main;
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!

Usoolon Pe Aanch Aaye Toh Takrana Zaroori Hai;
Aur Zinda Ho Toh Zinda Nazar Aana Zaroori Hai!
Jee Kee Jee Hi Mein Rahi Baat Na Hone Payi;
Haif Ki Us Se Mulaqat Na Hone Payi!

Dil Na Ummeed To Nahi, Na-Kaam Hi To Hai;
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai!
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin;
Aadat Jo Parr Gayi Thi Tere Intezar Ki!

Woh Jin Ki Aankhon Se Chamakte The Wafa Ke Moti;
Yaqeen Mano Kasam Le Lo Woh Aankhein Bewafa Nikli!
Kuch Ehsason Ke Saye Dil Ko Chu Jate Hain;
Kuch Manzar Dil Mein Utar Jate Hain;
Bejaan Gulshan Mein Bhi Phool Khil Jate Hain;
Jab Zindagi Mein Aap Jaise Dost Mil Jate Hain!

Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain;
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain;
Tum Toh Mere Chaar Aansu Na Badal Sake;
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain!
Meri Chahatein Tumse Alag Kab Hain;
Dil Ki Bataein Tumse Chupi Kab Hain;
Tum Sath Raho Dil Mein Dhadkan Ki Jagah;
Phir Zindagi Ko Sanson Ki Zaroorat Kab Hai!

Mere Pyaar Ki Wo Inteha Puchte Hain;
Dil Mein Hai Kitni Jagah Puchte Hain;
Chahte Hain Hum Unko Khud Se Zyada;
Iss Chahat Ki Bhi Woh Wajah Puchte Hain!