Akal Ayyaar Hai Sau Bhes Bana Leti Hai;
Ishq Bechara Na Mulla Hai Na Zahid Na Hakeem!
Ayyaar = Clever

Mushkil Raahon Mein Bhi Aasan Safar Lagta Hai;
Shayad Yeh Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai!
Mere Pyaar Ki Wo Inteha Puchte Hain;
Dil Mein Hai Kitni Jagah Puchte Hain;
Chahte Hain Hum Unko Khud Se Zyada;
Is Chahat Ki Bhi Woh Wajah Puchte Hain!

Aaj Ki Raat Bhi Mumkin Hai Na So Sakun;
Yaad Phir Aayi Hai Neendoon Ko Udaane Wali!
Use Pana Use Khona, Usi Ke Hijr Mein Rona;
Yehi Gar Ishq Hai 'Mohsin' To Hum Tanha Hi Achhe Hain!

Aaye The Hanste Khelte Mai-Kade Mein Firaq;
Jab Pee Chuke Sharaab To Sanjeeda Ho Gaye!
Badalne Wale Toh Har Cheez Badal Dete Hain;
Kamaan Se Nikla Teer Badal Dete Hain;
Tum Toh Mere Chaar Aansu Na Badal Sake;
Badalne Wale Toh Taqdeer Badal Dete Hain!

Yaad Sataaye Kisi Ki Toh Koi Kya Kare;
Dil Milne Ko Chahe Kisi Se Toh Koi Kya Kare;
Sapno Mein Hoti Hai Mulaqaat, Log Kehte Hain;
Par Pyaar Mein Neend Hi Na Aaye Toh Koi Kya Kare!
Unke Dekhe Se Jo Aa Jaati Hai Munh Par Raunaq;
Woh Samajhte Hain Ki Beemaar Ka Haal Achha Hai!

Ek Ajeeb Dastan Hai, Mere Afsane Kee;
Maine Pal Pal Kee Koshish, Uske Pass Jaane Kee;
Naseeb The Mere Ya, Sazish Zamane Kee;
Door Hui Mujhse Utni, Jitni Umeed Thi Kareeb Aane Kee!