Hum Tere Hijr Mein Andar Se Bikhar Jate Hain;
Zinda Lagte Hain Magar Asal Mein Mar Jate Hain;
Jab Kabhi Bolta Hai Hans Ke Kisi Aur Se Tu;
Kitne Khanjar Mere Seene Mein Utar Jate Hain!

Dushman Ho Toh Ishq Jaisa;
Seedha Dil Per Hi Vaar Kare!
Darpok Hain Woh Log, Jo Pyaar Nahi Karte;
Yeh Sach Hai Barbad Hone Ke Liye Bhi Jigar Chahiye!

Barish Hui To Phoolon Ke Tan Chaak Ho Gaye;
Mausam Ke Haath Bheeg Ke Saffak Ho Gaye;
Baadal Ko Kya Khabar Hai Ki Barish Ki Chaah Mein;
Kaise Buland-o-Baala Shajar Khaak Ho Gaye!
Zikr Uska Hi Sahi Bazm Mein Baitho To Faraz;
Dard Kaisa Hi Uthe Haath Na Dil Pe Rakhna!

Dil Na-Umeed To Nahi, Nakaam Hi To Hai;
Lambi Hai Gham Ki Shaam, Magar Shaam Hi To Hai!
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahi;
Aadat Jo Padd Gayi Thi Tere Intezar Ki!

Aafat To Hai Woh Naaz Bhi Andaz Bhi Lekin;
Marta Hun Main Jis Par Woh Ada Aur Hi Kuch Hai!
Vaade Pe Woh Mere Aitbaar Nahi Karte;
Hum Zikar Mohabbat Ka Sare Bazaar Nahi Karte;
Darta Hai Dil Unki Ruswai Se;
Aur Woh Sochte Hain Ki Hum Unse Pyaar Nahi Karte!

Kabhi Yeh Dua Ki Usse Mile Jahaan Ki Khushiyan;
Kabhi Ye Khauf Ki Wo Khush Mere Bagair Toh Nahi!