Dil Ki Nahi Jaan Ki Zarurat Ho Tum;
Zameen Ki Nahi Aasman Ki Inayat Ho Tum;
Aur Ab Hum Kya Tareef Karen Aapki;
Husn Ki Nahi Qayanat Ki Murat Ho Tum!

Woh Jo Kehta Hai Ishq Mein Kya Rakha Hai;
Ik Heer Ne Usko Apna Ranjha Bana Rakha Hai!
Tere Ishq Mein Kho Toh Diya Hai Chain Aur Sukoon;
Ab Kbhi Na Kehna Ki Main Kuch Nahi Karta!

Hichkiyan Dilakar Hamari Ulfat Kyon Badha Rahe Ho;
Bas Itna Bata Do Yaad Kar Rahe Ho Ya Yaad Aa Rahe Ho!
Jinko Chaha Tha Humnein Apna Banana;
Na Jaane Kyon Woh Hum Se Door Ho Gaye;
Humnein Socha Tha Bitaayenge Zindagi Hans Kar;
Magar Ghamon Ko Apnaane Par Mazboor Ho Gaye!

Maine Kaha Unse Chhod Do Ya Tod Do Mujhe;
Muskura Kar Sitam Dhaya Unhone;
Chhod To Diya Hi Hai Tum Ko;
Toot Tum Khud-Ba-Khud Jaoge!
Bin Baat Ke Hi Roothne Ki Aadat Hai;
Kisi Apne Ka Saath Paane Ki Chahat Hai;
Aap Khush Rahe, Mera Kya Hai;
Main To Aaina Hun, Mujhe Tootne Ki Aadat Hai!

Aaj Sawan Bhi Sunata Hai Teri Chitthi;
Kore Badal Mein Tu Aansuon Ko Rakhti Hai!
Tu Bhi Tasveer Ke Manind Chup Rehti Hai;
Meri Khamoshi Teri Tarah Kuch Kehti Hai!

Ek Khat Mein Sahej Kar Zara Si Hansi Bheji Hai,
Tumhein Kasam Hai Meri Jaan Ki Ise Apne Labon Pe Rakh Lena!