Hawa Mein Aaj Bhi Roti Hai Bansuri;
Udaas Phirti Hai Sadiyon Se Heer Jungle Mein!

Zindagi Ko Gale Lagane Ko Dil Chahta Hai;
Maut Se Hath Milane Ko Dil Chahta Hai;
Jab Kabhi Aa Jati Hai Yaad Tumhari Toh;
Pass Tumhare Aa Jane Ko Dil Chahata Hai!
Kasoor Unka Nahi Jo Dhokha Diya Unhone;
Aadat To Humein Hi Hai Dhokhe Khane Ki;
Tutega Dil Ek Din Jaante The Hum;
Fir Bhi Bhool Ki Unko Chahne Ki!

Hamari Khoj Mein Rehti Thi Titliyaan Aksar;
Ki Apne Shehar Ka Husn-O-Jamaal The Hum Bhi!
Narazgi Chahe Kitni Bhi ho Tum Se;
Par Tumhein Bhool Jane Ka Khayal Aaj Bhi Nahi Aata!

Chuppi Hai Kahin Hamdardi Mere Ghamon Ke Saath;
Mil Gayi Hai Kisi Kee Kahani Meri Daastaan Ke Saath!
Har Khushi Kam Hai, Tera Gham Bhulane Ke Liye;
Ek Tera Gham Hi Kaafi Hai, Mujhe Umar Bhar Rulane Ke Liye!

ਅਸੀਂ ਵੀ ਆਦਤਾਂ ਪਾ ਲਈਆਂ, ਹੁਣ ਇੱਕਲੇ ਰਹਿਣ ਦੀਆਂ;
ਕੌਣ ਕਿਸੇ ਪਿੱਛੇ ਮਰਦਾ, ਇਹ ਸਭ ਗੱਲਾਂ ਕਹਿਣ ਦੀਆਂ।

Gar Zindagi Mein Mil Gaye Phir Ittefaq Se;
Poochenge Apna Haal Teri Bebasi Se Hum!

Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota;
Chot Lagti To Beshak Yeh Fanah Hota;
Par Sunte Jab Wo Aawaz Iske Tutne Ki;
Tab Unhein Bhi Apne Gunah Ka Ehsaas Hota!