Yaad Karte Hain Tumhein Tanhai Mein;
Dil Dooba Hai Ghamoon Ki Gehrai Mein;
Humein Mat Dhundna Duniya Ki Bheed Mein;
Hum Milenge Tumhein Tumhari Hi Parchai Mein!

Saza Humein Yeh Kaisi Mili Dil Lagane Ki;
Ro Rahe Magar Tamanna Thi Muskurane Ki;
Apna Dard Kise Dikhau Aye Dost;
Dard Bhi Ussne Diya Jo Wajah Thi Muskurane Ki!
Chehre Ki Hansi Se Har Gham Chupao;
Bahut Kuch Bolo Par Kuch Na Batao;
Khud Na Rutho Kabhi Par Sabko Manao;
Yeh Raaz Hai Zindagi Ka, Bas Jeete Jao!

Mujhe Chhodkar Woh Khush Hai To Shikayat Kaisi;
Ab Main Unhe Kush Bhi Na Dekhu Toh Mohabbat Kaisi!
Rah Pe Nikle The Yeh Soch Kar Kisi Ko Bana Lenge Apna;
Magar Iss Khawish Ne Zindagi Bhar Ka Musafir Bana Diya!

Keh Do Usse Judaai Aziz Hai Toh Rooth Jaaein;
Woh Jee Sakta Hain Toh Hum Mar Bhi Sakte Hain!
Hum To Tere Dil Ki Mehfil Sajane Aaye The;
Teri Kasam Tujhe Apna Banane Aaye The;
Kis Baat Ki Saza Di Tumne Humko;
Bewafa Hum To Tere Dard Ko Apnane Aaye The!

Main Apni Khak Uthakar Kahan Kahan Ghumoon;
Tere Bagair Meri Zindagi Ki Keemat Kya!
Maine Kabhi Ek Chand Ko Pana Chaha Tha;
Us Door Akash Ke Ek Sitare Ko Gale Lagana Chaha Tha;
In Namumkin Si Cheezon Ko Main Mumkin Banane Chala Tha;
Jane Kyon Us Din Main Kisi Se Dil Lagane Ko Chala Tha!

Socha Tha Ki Woh Bahut Toot Kar Chahege Humein;
Lekin Socha Bhi, Hum Ne Chaha Bhi Hum Ne, Aur Toot Bhi Hum Gaye!