
Mil Sake Aasani Se Uski Khawaish Kise Hai;
Zid To Uski Hai Jo Mukadar Me Likha Hi Nahi Hai!
Har Baar Hawao Ko Ilzaam Dena Thik Nahi Yaaro;
Kabhi Sochna Kahi Chiraag Khud Na Thak Gaya Ho Jalte Jalte!

Mohabbat Ki Misal Main, Bus Itna Hi Kahunga;
Bemisaal Saza Hai, Kisi Be-Gunahon Ke Liye!
Jab Kisi Ke Sapne Kisi Ke Armaan Ban Jaye;
Jab Kisi Ki Hassi Kisi Ki Muskaan Ban Jaye;
Pyaar Kehte Hai Usse;
Jab Kisi Ki Saanse Kisi Ki Jaan Ban Jaye!
Fikr-e-Maash Ishq-e-Butan Yaad-e-Raftagan;
Is Zindagi Mein Ab Koi Kya Kya Kiya Kare!

Diye Hain Zindagi Ne Zaḳhm Aise;
Ki Jin Ka Waqt Bhi Marham Nahin Hai!

Duniya Ke Jo Maze Hain Hargiz Woh Kam Na Honge;
Charche Yoon Hi Rahenge Afsos Hum Na Honge!

Dil Bhar Aaya Kaghaz-e-Ḳhali Ki Surat Dekh Kar;
Jin Ko Likhna Tha Woh Sab Batein Zubani Ho Gayin!
Chala Jaunga Jaise Ḳhud Ko Tanha Chhoḍ Kar;
Main Apne Aap Ko Raton Mein Uth Kar Dekh Leta Hoon!

Bahut Pehle Se Un Kadmon Ki Aahat Jaan Lete Hain;
Tujhe Ai Zindagi Hum Door Se Pehchan Lete Hain!