sms

Baap Ka Hai Fakhr Wo Beta Ki Rakhta Ho Kamaal;
Dekh Aaine Ko Farzand-e-Rashid-e-Sang hai!

*Farzand-e-Rashid-e-Sang: Son of good stone

sms

Tumhare Shehar Ka Mausam Bada Suhana Lage;
Main Ek Shaam Chura Loon Agar Bura Na Lage!

sms

Sabhi Tarah Se Taaruf To Ho Gaya Unka,
Rahi Hai Ab To Mulaqaat Ru-ba-Ru Baaki;
Jo Bheed Bikhre To Dekhun Talab Ye Kaisi Hai,
Dayar-e-Ghair Mein Hai Kis Ki Justuju Baaki!

sms

Hum Hain Sookhe Hue Talaab Pe Baithe Hue Hans;
Jo Taalluq Ko Nibhate Hue Mar Jaate Hain!

*Taalluq: Relation

sms

Lafzon Ka Saeban Bana Lene Dijiye,
Sayon Ko Taq-e-Dil Mein Saja Lene Dijiye;
Gehre Samundaron Ki Tahen Mat Khangaliye,
Dil Ko Khuli Hawa Ka Maza Lene Dijiye!

*Taq-e-Dil: Niche Of Heart

sms

Aurat Ke Khuda Do Hain Haqiqi O Majazi;
Par Us Ke Liye Koi Bhi Achha Nahin Hota!

sms

Aankh Se Dil Mein Aane Wala,
Dil Se Nahi Ab Jaane Wala;
Ghar Ko Phoonk Ke Jaane Wala,
Phir Ke Nahi Hai Aane Wala!

sms

Tamam Raat Nahaya Tha Shehar Baarish Mein,
Wo Rang Utar Hi Gaye Jo Utarne Wale The!

sms

Kya Lene Su-e-Jah-o-Hasham Jayenge,
Kya Dene Sar-e-Ku-e-Karam Jayenge;
Aakhir To Kahin Dair Ki Niklegi Raah,
Jayenge To Kaabe Hi Ko Hum Jayenge!

sms

Harf Tum Apni Nazakat Pe Na Laana Harghiz,
Haath Bedad-o-Sitam Se Na Uthana Harghiz;
Tum Bhi Chori Ko Yaqeen Hai Na Kahoge Achchha,
Ab Humein Dekh Ke Aankhein Na Churana Harghiz!

* Bedad-o-Sitam: Oppression

End of content

No more pages to load

Next page