
Ibtida Wo Thi Ki Jeena Tha Mohabbat Mein Muhal; Inteha Ye Hai Ki Ab Marna Bhi Mushkil Ho Gaya! *Ibtidaa: Beginning/Starting/Origin

Gardish-e-Mah-o-Sal Se Aage Nikal Gaya Hun Main; Jaise Badal Gaye Ho Tum Jaise Badal Gaya Hun Main! * Gardish-e-Maah-o-Saal: A Movement of Months And Year

Dariya Mein Hai Sharab Ajab Ibtila Mein Hun; Main Bhi Husain Hi Ki Tarah Karbala Mein Hun!

Mera Din Khoobsurat Yun Bana Deta To Kya Hota; Wo Hum Ko Pyaar Se Aa Kar Jaga Deta To Kya Hota!

Sukhan Ka Lehja Guman-Khane Mein Reh Gaya Hai; Mera Zamana Kisi Zamane Mein Reh Gaya Hai! Guman-Khane - Places Of Imagination

Jaanta Hun Ek Aise Shakhs Ko Main Bhi 'Muneer';
Gham Se Patthar Ho Gaya Lekin Kabhi Roya Nahi!

Dar-ba-Dar Thokarein Khain To Ye Malum Hua; Ghar Kise Kehte Hain Kya Cheez Hai Be-Ghar Hona!

Husn Baaton Mein Bhi Paida Kijiye; Saamne Aaina Rakha Kijiye !

Isi Tarah Meri Aankhon Ko Band Hona Tha; Tere Ghuroor Ka Parcham Buland Hona Tha! Parcham - A Flag

Kabhi Un Ka Naam Lena Kabhi Unki Baat Karna; Mera Zauq Un Ki Chahat Mera Shauq Un Pe Marna! *Zauq- Taste