
Uski Khamoshi Se Mujhe Darr Lagta Hai;
Door Na Ho Jaye Aisa Kyon Lagta Hai;
Duniya Se Use Cheen Lene Ka Haunsla To Hai Mujh Mein;
Lekin Wo Saath Na Dega Aisa Kyon Lagta Hai!

Is Ishq Mein Wo Misaal Banayenge Hum;
Aankhein Band Karoge To Nazar Aayenge Hum;
Bhar Denge Itna Pyaar Aapke Dil Mein Ki;
Sab Se Pehle Yaad Aayenge Hum!
Bikhre Ashkon Ke Moti Hum Piro Na Sake;
Teri Yaad Mein Saari Raat So Na Sake;
Mit Na Jaye In Ashkon Mein Teri Yaadein;
Yahi Soch Kar Hum Bas Ro Na Sake!
Sirf Dhokha Tha Koi Tera
Sirf Dhokha Tha Koi Tera Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Maine Socha Tha Tujhe Jaisa Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Manzilo Kee Justju Mein Ghar Se Main Nikla Magar;
Tha Sabhi Kuch Theek Par Raasta Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Saath Tha Din Bhar Wo Mere Ik Musafir Kee Tarah;
Shaam Jab Aayi To Ye Jana Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Uske Bheetar Jhankte Hi Mujhko Andaza Hua;
Tha Wo Apni Jaat Mein Aisa Ki Jo Tha Wo Na Tha;
Tune Nahak Meri Baaton Ka Bura Maana Hai Dost;
Gaur Karna Bas Mera Kehna Ki Jo Tha Wo Na Tha!

Kar Rahaa Tha Gham-e-Jahaan Ka Hisaab;
Aaj Tum Yaad Behisaab Aaye!

Yaad Mein Teri Aahein Bharta Hai Koi;
Har Saans Ke Saath Tujhe Yaad Karta Hai Koi;
Maut Sachhai Hai Ek Roz Aani Hai;
Lekin Teri Judaai Mein Har Roz Marta Hai Koi!
Unki Mohabbat Ke Abhi Nishan Baki Hain;
Naam Lab Par Hai Aur Jaan Baki Hai;
Kya Hua Agar Dekh Kar Munh Pher Lete Hain;
Yeh Tasalli To Hai Ki Unhein Hamari Pehchan Baki Hai!
Kashish Honi Chahiye Kisi Ko Yaad Karne Kee;
Lamhe To Apne Aap Hi Mil Jayenge;
Waqt Hona Chahiye Kisi Ko Milne Ka;
Bahane To Apne Aap Hi Mil Jaynege!
Jab Agle Saal
Jab Agle Saal Yahi Waqt Aa Raha Hoga;
Ye Kaun Jaanta Hai Kaun Kis Jagah Hoga;
Tu Mere Saamne Baitha Hai Aur Main Sochta Hun;
Ki Aate Lamhon Mein Jeena Bhi Ik Saza Hoga;
Yahi Damakte Hue Pal Dhuan Dhuan Honge;
Yahi Chamakta Hua Din Bhujha Bhujha Hoga;
Isi Jagah Jahaan Aaj Mil Ke Baithe Hain;
Isi Jagah Par Khuda Jaane Kal Kya Hoga;
Bichhadne Wale Tujhe Dekh Kar Sochta Hun;
Tu Phir Milega To Kitna Badal Geyaa Hoga!
Agar Talaash Karun Koi Mil Hi Jayega;
Magar Kaun Tumhari Tarah Mujh Ko Chahega;
Tumhein Zaroor Koi Chahaton Se Dekhega;
Magar Wo Aankhein Hamari Kahan Se Layega!