
Mehek Hoti To Titliyan Zaroor Aati;
Koi Rota To Siskiyan Zaroor Aati;
Kehne Ko To Log Mujhe Bahut Yaad Karte Hain;
Magar Yaad Karte To Hichkiyan Zaroor Aati!
Rasam-e-Wafa Nibhana To Gairat Kee Baat Hai;
Wo Mujhko Bhool Jayein Yeh Hairat Kee Baat Hai;
Sab Mujhko Chahte Hain Shohrat Kee Baat Hai;
Bas Wo Humein Nahi Chahte Yeh Hamari Kismat Kee Baat Hai!
Ishq Aur Dosti Mere Do Jahaan Hain;
Ishq Meri Rooh To Dosti Mera Iman Hai;
Ishq Par To Fida Kar Dun Apni Sari Zindagi;
Magar Dosti Par To Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai!
Chup Ke Se Usne Jo Khud-Numai Kee;
Intiha Thi Ye Dilrubi Kee;
Mail-e-Ghamza Hai Wo Chashm-e-Siyaah;
Ab Nahi Khair Parsayi Kee;
Hum Se Kyonkar Wo Aastana Chhute;
Muddaton Jis Pe Jabha-Sai Kee;
Dil Ne Barson Ba-Justju-e-Kamaal;
Koocha-e-Ishq Mein Gadaai Kee;
Daam Se Un Ke Chutna To Kahan;
Ya Hawas Bhi Nahi Rihai Kee;
Ho Ke Nadim Wo Baithe Hain Khamosh;
Sulh Mein Shan Hai Ladai Kee;
Us Taghaful-Shiar Se 'Hasrat';
Hum Mein Taqat Nahi Judai Kee!
Aaye Hai Be-Kasi-e-Ishq Pe Rona Ghalib;
Kis Ke Ghar Jayega Sailab-e-Bala Mere Baad!
Meaning:
Be-Kasi-e-Ishq = Helplessness
Sailab-e-Bala = Flood of misfortunes

Deedar Kee Aag Jab Dil Mein Bhadakne Lagti Hai;
Tujhe Dekhne Ko Meri Aankhein Tarsane Lagti Hain;
Baadlon Ke Barsane Ka Humein Intezar Nahi Rehta;
Teri Yaadon Mein Yeh Aankhein Khud Hi Barsane Lagti Hain!
Yeh Hum Bhi Ganwara Karte Hain, Yeh Tum Bhi Ganwara Kar Lena;
Ro Ro Ke Guzari Hain Humne Raatein, Tum Hans Ke Guzara Kar Lena;
Betabi Hadh Se Badh Jaye Aur Neend Raaton Ko Aa Jaye;
To Doob Ke Meri Yaadon Mein Tum Duniya Se Kinara Kar Lena!

Tumhari Yaadon Mein Beeti Har Baat Alag Hai;
Tumhare Saath Huii Har Mulaqaat Alag Hai;
Har Shakhs Meri Zindagi Chhu Kar Geya;
Magar Tumhari Mulaqat Kee Baat Alag Hai!
Tere Daaman Kee Hawa Mangte Hain;
Hum Bhi Jeene Kee Dua Mangte Hain;
Mutaribo Koi Achuta Nagma;
Saaz Aahang-o-Sadaa Mangte Hain;
Maah-o-Anjum Ke Jharokhe Aksar;
Kisi Ke Aariz Kee Dua Mangte Hain;
Phir Patangon Mein Khudayi Jagi;
Sholay Hashr-Numa Mangte Hain;
Banda-Parwar Koi Khairat Nahi;
Hum Wafaon Ka Sila Mangte Hain;
Maikada Ho Ke Kaleesa 'Saghir';
Sari Duniya Ka Bhala Mangte Hain!
Betabiyan Samet Ke Sare Jahaan Kee;
Jab Kuch Na Ban Saka To Mera Dil Bana Diya!