
Roothi Jo Zindagi To Mana Lenge Hum;
Mile Jo Gham Wo Seh Lenge Hum;
Bas Aap Rehna Hamesha Saath Hamare To;
Nikalte Hue Aansuon Mein Bhi Muskura Lenge Hum!
Is Duniya Mein Koi Kisi Ka Nahi Hota;
Lakh Nibhao Rishta Koi Apna Nahi Hota;
Galatfehmi Rehti Hai Kuch Dino Ke Liye;
Lekin Uske Baad Aankhon Mein Aansuon Ke Siwa Kuch Nahi Hota!
Wo Zindagi Hi Kya Jisme Mohabbat Nahi;
Wo Mohabbat Hi Kya Jisme Yaaein Nahi;
Wo Yaaein Hi Kya Jisme Tum Nahi;
Aur Wo Tum Hi Kya Jiske Saath Hum Nahi!
Musafir Ke Raaste Badalte Rahe;
Muqaddar Mein Chalna Tha Chalte Rahe;
Koi Phool Sa Haath Kandhe Pe Tha;
Mere Paanv Sholon Pe Chalte Rahe;
Mere Raaste Mein Ujala Raha;
Diye Us Kee Aankhon Ke Jalte Rahe;
Wo Kya Tha Jise Humne Thukara Diya;
Magar Umar Bhar Haath Malte Rahe;
Mohabbat Adavat Wafa Berukhi;
Kiraye Ke Ghar The Badalte Rahe;
Suna Hai Unhein Bhi Hawa Lag Gayi;
Hawaon Ke Jo Rukh Badalte Rahe;
Lipat Ke Charagon Se Wo So Gaye;
Jo Phoolon Pe Karvat Badalte Rahe!
Kahan Tak Aankh Royegi Kahan Tak Kiska Gham Hoga;
Mere Jaisa Yahan Koi Na Koi Roz Kam Hoga;
Tujhe Paane Kee Koshish Mein Kuch Itna Ro Chuka Hun Main;
Ki Tu Mil Bhi Agar Jaye To Ab Milne Ka Gham Hoga!
Kyon Koi Chaah Kar Mohabbat Nibha Nahi Paata;
Kyon Koi Chaah Kar Rishta Banaa Nahi Paata;
Kyon Leti Hai Zindagi Aisi Karvat;
Ki Koi Chaah Kar Bhi Pyaar Jataa Nahi Paata!

Na Gul Na Yeh Gulistan Hamara Hai;
Jise Pujte Hain Na Woh Farishta Hamara Hai;
Chal Pade Hain Jis Manzil Kee Taraf;
Na Woh Manzil Na Woh Raasta Hamara Hai!

Na Zindagi Mili Na Wafa Mili;
Na Jaane Kyon Har Khushi Humse Khafa Mili;
Jhoothi Muskaan Liye Apne Gham Chupaate Hain;
Sachhi Mohabbat Karne Kee Bhi Kya Khoob Saza Mili!
Dukh Dard Mein Hamesha Nikale Tumhare Khat;
Aur Mil Gayi Khushi To Uchhale Tumhaare Khat;
Sab Choodiyan Tumhari Samandar Ko Saunp Dee;
Aur Kar Diye Hawa Ke Hawale Tumhare Khat;
Mere Lahoo Mein Goonj Raha Hai Har Ek Lafz;
Main Ne Ragon Ke Dasht Mein Paale Tumhare Khat;
Yun To Hain Be-Shumar Wafa Kee Nishaniyan;
Lekin Har Ek Shay Se Nirale Tumhare Khat;
Jaise Ho Umar Bhar Ka Asasa Gareeb Ka;
Kuch Is Tarah Se Main Ne Sambhale Tumhare Khat;
Ahal-e-Hunar Ko Mujhe Pe 'Wasi' Aitraz Hai;
Main Ne Jo Apne Sher Mein Dhaale Tumhare Khat;
Parwah Mujhe Nahi Hai Kisi Chaand Kee 'Wasi';
Zulmat Ke Dasht Mein Hain Ujaale Tumhare Khat!
Baat Aisi Bhi Koi Nahi Ki Mohabbat Bahut Jyada Hai;
Lekin Hum Dono Se Us Kee Taqat Bahut Jyada Hai;
Aap Ke Peeche Peeche Phirne Se To Rahe Is Umar Mein Hum;
Raah Pe Aa Baithe Hain Ye Bhi Ghanimat Bahut Jyada Hai!