
Sard Raaton Ko Satati Hai Judai Teri;
Aag Bujhti Nahi Seene Mein Lagayi Teri;
Tum Jo Kehte The Bichar Kar Main Sukun Paa Lunga;
Phir Kyu Roti Hai Mere Dar Par Tanhayi Teri!
Mom Kee Tarah Pighalti Ja Rahi Hai Zindagi;
Kyon Is Tarah Hath Se Fisal Rahi Hai Zindagi;
Hum Tumhein Pana Chahte Hain, Dil Mein Basana Chahte Hain;
Par Kyon Unchahe Sadmon Se Guzar Rahi Hai Zindagi!
Koi Apna Hota To Bin Kahe Hi Samjh Leta;
Ab Kis Ko Bataun Ki Kya Hai Is Dil Mein;
Bhule Baithe Hain Wo Log Bhi Jinhe Apna Samjhta Hun;
Kabhi Mile To Dil Cheer Ke Dikha Dun Ki Kya Hai Is Dil Mein!
Aisa Lagta Hai
Aisa Lagta Hai Zindagi Tum Ho;
Ajnabi Jaise Ajnabi Tum Ho;
Ab Koi Aarzoo Nahi Baki;
Just-Ju Meri Aakhiri Tum Ho;
Main Zameen Par Ghana Andhera Hun;
Aasmano Kee Chandni Tum Ho;
Doston Se Wafa Kee Ummeedein;
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho!
Dhadkan Dil Ki Ruk Jati Hai;
Sanse Aksar Tham Jati Hai;
Bahut Buri Halat Hoti Hai Yaaro;
Jab GF Se Shaadi Karne Ki Naubat Aati Hai!
Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqshe Mazi Mite Mite Se;
Wo Aazmaish Dil O Nazar Kee, Wo Kurbatein Si, Wo Fansle Se;
Kabhi Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hain Kafile Se;
Wo Sari Baatein Lagav Kee Si, Wo Sare Unvaan Visal Ke Se!
Palkein Khuli Subah To Yeh Jaana Humne;
Maut Ne Aaj Phir Se Humein Zindagi Ke Hawale Kar Diya!

Mitti Mein Hoti Hai Pakad Mazboot Pairon Kee;
Sangmarmar Par Aksar Maine Logon Ko Fisalte Dekha Hai!

Jaam Pe Jaam Peene Ka Kya Fayda;
Sham Ko Pee, Subah Utar Jayegi;
Are Peeni Hai To Do Boond Dosti Ke Pee;
Sari Zindagi Fir Bas Nashe Mein Guzar Jayegi!
Jab Nahi Aaye The Tum Tab Bhi To Tum Aaye The;
Aankh Mein Noor Kee Aur Dil Mein Lahoo Kee Surat;
Yaad Kee Tarah Dhadakte Hue Dil Kee Surat;
Tum Nahi Aaye Abhi Phir Bhi To Tum Aaye Ho;
Raat Ke Seene Mein Mehtab Ke Khanjar Kee Tarah;
Subah Ke Haath Mein Khurshid Ke Sagar Kee Tarah;
Tum Nahi Aaoge Jab Phir Bhi To Tum Aaoge;
Zulf Dar Zulf Bikhar Jayega Phir Raat Ka Rang;
Shab-e-Tanhayi Mein Bhi Lutf-e-Mulaqat Ka Rang;
Aao Aane Kee Karein Baat Ki Tum Aaye Ho;
Ab Tum Aaye Ho Main Kaun Si Shai Nazar Karu;
Ki Mere Paas Siva Mehr-o-Wafa Kuch Bhi Nahi;
Ek Dil Ek Tamanna Ke Siva Kuch Bhi Nahi!