
Kya Tere Shehar Ke Insaan Hain Patthar Ki Tarah; Koi Nagma Koi Payal Koi Jhankar Nahi!

Hawa Ne Phaad Di Tasveer Lekin; Abhi Ek Keel Seene Mein Gadi Hai!

Kinara Doosra Dariya Ka Jaise; Wo Saathi Hai Magar Mahram Nahi Hai;

Rote Jo Aaye The Rula Ke Gaye; Ibtida Inteha Ko Rote Hain!

Bheegi Mitti Ki Mehak Pyaas Badha Deti Hai; Dard Barsat Ki Bundon Mein Basa Karta Hai!

Dil Par Chot Padi Hai Tab To Aah Labon Tak Aayi Hai; Yun Hi Chhan Se Bol Uthna To Sheeshe Ka Dastur Nahi!

Sun Chuke Jab Haal Mera Le Ke Angdayi Kaha; Kis Ghazab Ka Dard Zaalim Tere Afsane Mein Tha!

Us Ne Barish Men Bhi Khidki Khol Ke Dekha Nahin; Bhigne Valon Ko Kal Kya Kya Pareshani Hui!

Main Vo Sahra Jise Paani Ki Havas Le Dubi; Tu Vo Badal Jo Kabhi Tut Ke Barsa Hi Nahin!

Judaiyon Ke Zakhm Dard-e-Zindagi Ne Bhar Diye; Tujhe Bhi Nind Aa Gayi Mujhe Bhi Sabr Aa Gaya!