Husn Ghamze Kee Kashakash Se Chuta Mere Baad;
Bade Aaram Se Hain Ahl-e-Jafa Mere Baad;
Mansab-e-Sheftagi Ke Koi Qabil Na Raha;
Hui Mazooli-e-Andaz-o-Ada Mere Baad!
Translation:
The clash between beauty and seduction is assuaged in my aftermath,
The faithless are consequently at peace in my aftermath.
No one is left worthy of the eminence of deire's insanity,
The manner and the ways of love are banished in my aftermath.

Zamane Se Nahi Main To Tanhai Se Darta Hun;
Pyaar Se Nahi Main To Ruswai Se Darta Hun;
Milne Kee Umang Bahut Hoti Hai Dil Mein;
Lekin Milne Ke Baad Teri Judai Se Darta Hun!

Pehli Mohabbat Thi Hamari, Hum Jaan Na Sake;
Pyaar Kya Hota Hai Hum Pehchan Na Sake;
Humne Unhe Dil Mein Basaya Hai Iss Kadar Ki;
Chah Kar Bhi Hum Unhe Apne Dil Se Nikaal Na Sake!
Akhan Di Benoori Changi Nahi Hundi;
Sajjna Kolon Doori Changi Nahi Hundi;
Kade Kade Taa Aa Ke Mil Jaya Karo;
Har Vele Majboori Changi Nahi Hundi!
Aankh Ladate Hi Hua Ishq Ka Aazaar Mujhe;
Chashm Beemaar Teri Kar Gayi Beemaar Mujhe;
Dil Ko Zakhmi To Vah Karte Hain Magar Hairat Hai;
Nazar Aati Nahi Chalti Hui Talwar Mujhe;
Dekhiye Jaan Pe Girti Hai Ki Dil Par Bijli;
Door Se Taak Rahi Hai Nigah-e-Yaar Mujhe;
Garche Sau Baar In Aankhon Se Tujhe Dekha Hai;
Magar Ab Tak Hai Wahi Hasarat-e-Deedar Mujhe;
Mujhko Parwah Nahi Naseh Teri Ghamkhwari Kee,
Gham Salamat Rahe Kafi Hai Yeh Ghamkhwar Mujhe;
Sheesha-o-Jaam Pe Saqi Koi Ilzam Nahi;
Teri Aankhein Kiye Deti Hai Gunahagaar Mujhe;
Yaar Saqi Ho To Chalta Hai Abhi Daur 'Jaleel';
Kaun Kehta Hai Ki Peene Se Hai Inkaar Mujhe!

Justuju Jis Kee Thi Usko To Na Paya Humne;
Iss Bahane Se Magar Dekh Lee Duniya Humne!
Tujhe Paane Kee Iss Liye Zidd Nahi Karte;
Kyonki Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta;
Tu Milta Hai To Isliye Nazrein Nahi Uthate;
Ki Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta!

Meri Har Saans Mein Mehakta Paya Hai Tujhe;
Har Sapno Mein Dil Se Mangwaya Hai Tujhe;
Phir Kyon Na Karein Tumhein Itni Mohabbat;
Jab Khuda Ne Mere Liye Hi Banaya Hai Tujhe!
Door Kahin Meri Nazron Se Rehti Hai Wo;
Har Lamha Mere Khayalon Mein Rehti Hai Wo;
Kaisi Hai Wo, Kis Haal Mein Hai Wo;
Dil Ke Mere Har Sawaal Mein Rehti Hai Wo!
Apna Deewana Bana Kar Le Jaye;
Kabhi Wo Aaye Aur Aa Kar Le Jaye;
Roz Buniyad Uthata Hun Nayi;
Roz Sailab Baha Kar Le Jaye;
Husn Walon Mein Koi Aisa Ho;
Jo Mujhe Mujh Se Chura Kar Le Jaye;
Rang-e-Rukhsaar Pe Itarao Nahi;
Jaane Kab Waqt Udaa Kar Le Jaye;
Kise Maloom Kahan Kaun Kise;
Apne Raaste Pe Laga Kar Le Jaye;
'Aftab' Ek To Aisa Ho Kahin;
Jo Humein Apna Bana Kar Le Jaye!