Phir Ye Kis Ne Mujhe Jagaya Hai; Phir Se Khwabon Mein Kaun Aaya Hai!
Yun Bhi Tera Ehsaan Hai Aane Ke Liye Aa;
Ai Dost Kisi Roz Na Jaane Ke Liye Aa!
Guzre Hain Tere Saath Jo Din-Raat Abhi Tak;
Aankhon Mein Base Hain Vahi Lamhat Abhi Tak!
Lamhaat - Minutes, Moment
Kalam Karte Hain Log Khud Se;
Bhadas Dil Ki Nikal Rahi Hai!
'Mir'-Sahib Zamana Nazuk Hai;
Donon Hathon Se Thamiye Dastar!
Abla-Pa Koi Is Dasht Mein Aaya Hoga;
Varna Aandhi Mein Diya Kis Ne Jalaya Hoga!
'Sauda' Hue Jab Aashiq Kya Paas Aabru Ka;
Sunta Hai Ai Deewane Jab Dil Diya To Phir Kya!
Kisi Kali Kisi Gul Mein Kisi Chaman Mein Nahi; Wo Rang Hai Hi Nahi Jo Tere Badan Mein Nahi!
Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai; Ranj Kam Sehta Hai Elaan Bahut Karta Hai!
Waqt Ruk Ruk Ke Jinhen Dekhta Rehta Hai 'Saleem'; Ye Kabhi Waqt Ki Raftar Hua Karte The!



